Saturday, 28 December 2019

Rabta hai tau mera

Rabta hai tau mera onn se kae bersoN ka
Baat badhti he nehi salam dua se agay

Monday, 23 December 2019

Tou bhe daikh wo saya

Tou bhe daikh wo saya jo meri aankh main hai
Main ne ye sooch k bhaija hai aks apna tujh ko

Tuesday, 17 December 2019

Wohi likha hai ShairoN mai

Wohi likha hai ShairoN mai
ZabaN se jo keh na saka

Thursday, 12 December 2019

Mohabbat main anna ko

Mohabbat main anna ko marna parta hai roz o shab
Jabhi ja ker mohabbat ishq main tabdeel hoti hai

Sunday, 8 December 2019

Mujhay fursat ke gharyuN maiN

Mujhay fursat ke gharyuN maiN teri jab yaad aati haeMain sb koch bhool jata hoN tumunna muskorati hae


Friday, 6 December 2019

Tumhain Huq Hai


Wednesday, 4 December 2019

Tum mujh se cheen

Tum mujh se cheen lo gaiy jab ijazat naam likhnay ke
Main ashkoN se havaaoN main tumhara naam likhoN ga

Friday, 29 November 2019

Nehi mertay haiN nufrat

Nehi mertay haiN nufrat se mohabbat maar daiti hai
Ye hum se khas loogoN ko zamana aam kehta hai

Tuesday, 26 November 2019

Chahat maiN teri

Chahat maiN teri jab ye dil haar maan ker
Soya koch aisa bekhabber jaga nehiN abhi

Wednesday, 20 November 2019

Sudmay nazdeek kaisay aa jatay

Sudmay nazdeek kaisay aa jatay
Ik tou jo mera hum nawa hota

Wednesday, 13 November 2019

Apni aankhoN pe.

Apni aankhoN pe terey haath ka jaadu daikha
Khushk hotay hovay aansoo bhe beh ker niklay

Thursday, 7 November 2019

Dustras main ho agr

Dustras main ho agr ankhoN ke wo
Bhool ker sb koch usay daikha kraiN

Sunday, 3 November 2019

Most Sad Best Urdu Poetry II Heart Touching Urdu Poetry II Urdu sad poet...

Thursday, 31 October 2019

Aqeedat hai mohabbat hai


Sunday, 13 October 2019

Nazer ke puliyuN maiN

Nazer ke puliyuN maiN hai teri sorat chappi aisay
Idher daikhoN udher daikhoN jahaN daikhoN wahaN tou hai

Sunday, 6 October 2019

Rufta rufta dil ko meray



Rufta rufta dil ko meray gulistaaN ker he gaya
Aik dhoka runj o gham ko daastaN ker he gaya

Guftagoo rukhsar o lub ke ajnabi achi lagi
Muskorana tera mujh ko bud gumaaN ker he gaya

Phir havayieN shaor kertien jism main dakhil hoien
Munchala moasum humain phir se javaN ker he gaya

Bay subub ekhlaas ke garmi ne poocha hum se yuN
Kon tha jo iss zameeN ko aasmaaN ker he gaya

Daikhtay hain baam o dar chhup ker meray andaz ab
Bay khaber husti ko meri khush gumaaN ker he gaya

Na jala ab wo diya jo bujh gaya ik phoonk saiy
Na bujha wo aag jo roshun diya ker he gaya

Muflisi ke dhoop maiN jo ishq bun k saath tha
Jatay jatay rastoN maiN Koch dhoowaN ker he gaya

Waqt ne rukhsat kiya Koch dair se shaukat tujhay
Hum sufer manzil ko teri meherbaaN ker he gaya


Monday, 23 September 2019

Hum se chhorda na gya tum se baanta na gya

Hum se chhorda na gya tum se baanta na gya
Wo tera gham jo busa hae meri aankhoN maiN

Sitam karo ya karam hum gila nehi kartay


Sitam karo ya karam hum gila nehi kartay
Khizaan main phool yaqeenan khila nehi kartay

Mila dau khaak main hum ko magar khayal rehay
K hum saiy loog dobara mila nehi kartay

Ajab sakoot sa taari haiy onn ke nazron main
K jaisay ab wo kisi saiy wafa nehi kartay

Unhi k dam saiy haiy roshan ye mehfil shair-o-sukhan
Ye ore baat haiy wo yahan dikha nehi kartay

Jo dhoondtay hain khushi udaas chehron main
Unhi ke aankh saiy aanso gira nehi kartay

Kabhi tau badlay gi duniya kabhi tau badlain gaiy rung
Abhi tau ashak humaray rukka nehi kartay

Kahan khayal maseeha ko aaj haiy shaukat
Kahan hain loog jo dushman howa nehi kartay


Tuesday, 17 September 2019

Kerta hai tou ilaaj gham e hijer ka tabeeb

Kerta hai tou ilaaj gham e hijer ka tabeeb
Likh dai mujhey dawwa koe wasl e yar ke

Hijer maiN dil nehi lagta

Hijer maiN dil nehi lagta tau yaad kerti hon
Piya guzray hovey din wo teri baanhoN main

Monday, 2 September 2019

Most Sad Best Urdu Poetry II Heart Touching Urdu Poetry II Urdu sad poet...

Saturday, 31 August 2019

Nufrat se kiya perda

Nufrat se kiya perda na payar gunah jana
hum khak nasheenoN ne zamaney ko wafa jana
Sagar main jo dobay tau Koch shor sunna hum ne
Jo haath badha aagay bus os ko Khuda jana
Bekhoaf bitani thee bekhoaf bita de hai
Jaltay hovay jeevan ko qudrat ke raza jana
Aatay hovey daikhay hain khud apni taraf nishter
Chubnay se bohat pehlay tazleel e ana jana
Koch ore taraptay tau khho daitay zehan apna
Bus khud he gaey maqtal her shay ko jaza jana
Idraq k pehloo main roshan thay kae rustay
Daikha tau bohat hum nay per onko gumaaN jana
Ik umer bita de thee jaltay hovay sehra main
Phir shajer k saaey ko bus apna makaN jana
Muskaan humari thee ik shaksh k gaaloN per
Bhaiji thee kabhi hum ne ye hum ne kahaN jana

Tuesday, 13 August 2019

Most Sad Best Urdu Poetry II Heart Touching Urdu Poetry II Urdu sad poet...

Saturday, 6 July 2019

Na gila hai na koe wasta II Urdu Sad poetry II Most sad best Urdu poetry...

Wednesday, 26 June 2019

Hum ne guzar le hai

Hum ne guzar le hai huns ro k zindagi
Teri mera Khuda na aankhoN ko num kray

Thursday, 20 June 2019

Main teri yad se ghafil tua na tha II Heart Touching Urdu Poetry II Urdu...

Monday, 10 June 2019

Most Sad Best Urdu Poetry II Heart Touching Urdu Poetry II Urdu sad poet...

Wednesday, 5 June 2019

Qaiyamat bun guzerti haiN

Qaiyamat bun guzerti haiN tumharay hijer mai gharyaN
Bata do wasl se pahlay humari eid kiya hogi

Thursday, 30 May 2019

Most Sad Best Urdu Poetry II My Own Poetry II Heart Touching Urdu Poetr...

Thursday, 23 May 2019

Most Sad Best Urdu Poetry II Urdu sad Shayari II Heart Touching Urdu Poetry

Tuesday, 14 May 2019

TumhaiN FursataiN jo milaN kabhi II Poetry of Shaukat Ali Khan II

Meray RUB


Tuesday, 7 May 2019

Mohabbat Rog hai dil ka II Poetry of Shaukat Ali Khan II

Thursday, 2 May 2019

Jo Daagh Dil Pe lagay II Poetry of Shaukat Ali Khan II

Monday, 29 April 2019

Ab tau gham yaad

Ab tau gham yaad bhe nehi aatay
Itnay gham daiy diye mujhe tou ne

Wafa bantnay ke cheez

Wafa bantnay ke cheez thee so hum ne baant lee
Khushi oski ashaq mera, dard oska dil mera

Saturday, 27 April 2019

MaiN De Saka Na Tujh Ko II Poetry of Shaukat Ali Khan II

Wednesday, 24 April 2019

Usay kaha tha II Poetry of Shaukat Ali Khan II Touchy Ghazal

Monday, 15 April 2019

My own poetry

Saturday, 13 April 2019

Jab se hovey ghulaam


MaiN kiya likhoN


Sunna hae yad kertay ho


Sunday, 31 March 2019

HUM HE TUJHE EHSAAS

HUM HE TUJHE EHSAAS K RISHTON MAI MILAIN GAIY
BESHAQ TOU REHAY DOOOR BANA AJNABI HUM SAEY

Friday, 29 March 2019

Hijer o wasal k faislay phooloN ke rah per

Hijer o wasal k faislay phooloN ke rah per
Khud he kiye thay hum ne kiya yad hay tumhain

Main teri chasham e graizaN sai nehi HairaaN

Main teri chasham e graizaN sai nehi HairaaN
Hey muqader main gar likha tau dar kiya hay

Dil shikasta ghamoN se tha werna

Dil shikasta ghamoN se tha werna
Aik khawhish ka khawab tha mera

Saturday, 16 March 2019

mere naqash ke badolat


Monday, 4 March 2019

Usay kaha tha kabhi na milna


Usay kaha tha kabhi na milna udas raatoN ke chandni main
K so raha hoN maiN aankh kholay qamer ki thhundi se roshni maiN

Mujhe jaga k mera tasawer na tod daina tum aashqi main
Ye hum ne mana k sb hae jaiyz mohabbatoN ore dushmani main

Nazar mila k sawal kerna bharam ye hum ne tumhain diya hai
Khud apni pulkain utha na paey kisi mukhatib ke dosti main

Safer main kitna shaor laiker chalay thay manzil ke ore hum bhe
Sumajh na paey raastoN ke rukawatain hum bekali main

Humaray aansoo kisi ne beshaq kabhi na ponchhay thay zindagi main
Magar humara shafiq chahra kabhi na budla ghami khushi main

sadayieN jo be aser rehi theiN duayeN jo be sumer thahrieN
unhi se kertay rehay haiN shikwa teri mohabbat ke tishnagi main

qafas main paband ho k hum ne  nazar ko dar pe rakh liya tha
sunaiye de na kabhi bhe dastak hawa ore patoN ke raagni main

qasoor yehi tha bus humara k chaha tha shaukat ne sath tera
bhula na paey wo zindagi bhar jo ke riyazat teri kami maiN


Sunday, 10 February 2019

Husn tau mai bhe hoN

Husn tau mai bhe hoN mgr khasaray mai hoN
Meri qismat ne mujhe mutti mai mila rakha hai

Tuesday, 5 February 2019

Lagta nehi hay aisa

Lagta nehi hay aisa ab wasl-e-yar ho
Kismat meri main onn ka thora sa payar ho

Lumhay jo kut gaeiy onn ke judaie main
Wo daur-e-zindagi ab ghum main shomar ho

Jeenay ke aarzoo ab ore kiya karain
Her aarzoo he jab ghum ke bahar ho

Daiy kr chalay haiN dil ore jaan bhe yahan
Khhafa hum say dosto na husn-e-yar ho

Hasrat rehi humain aisay lumhay bhe hon
Hum dair say aaiyen unhain intezaar ho

Husn-e-wafa kabhi hum say khhafa na ho
Daikhain jab aaina tau aks-e-yar ho

Hon iss tara kabhi gharyaan wisaal ke
Barson ke ho judaie sudyun ka payar ho

Shaukat bhulla bhe daiy sudmay firaaq k
Gar haath main uskay koe ekhhtiyar ho
 

Wednesday, 30 January 2019

Kerta hoN mehsoos

Kerta hoN mehsoos teri aankhoN se tera dard
InsaaN hon bejaaN nehi, oar pathher bhe nehI
Jo mohabbat terey honay sai mili hai mujh ko
Wo kisi gohar e nayab sai kamter bhe nehi

Thursday, 24 January 2019

mujhe apney zabt pe tha yaqeen


Monday, 21 January 2019

Ehsaas mer chuka tha

Ehsaas mer chuka tha ya taqqat ka tha nasha
BuchoN k samnay jo khooN maaN baap ka kiya

Saturday, 19 January 2019

Her shay hai os jagah

Her shay hai os jagah, thee mojood jis jagah
Bus umer maiN sabhi ki ik saal ghhat gya

Ye rusm hai Rivayat hai tasali hai dilasa hai

Ye rusm hai Rivayat hai tasali hai dilasa hai
Budalta koch nehi beshaq sirf ik saal budalnay sai
Wohi asmaaN wohi sooruj wohi sobha wohi shamaiN
Nehi rukta koe bhe pal apni chal chalnay sai

Mil gya jawab khamshi

Mil gya jawab khamshi sai humaiN
Haal pathhar sai hum ne poocha tha

Friday, 11 January 2019

Jab sai anjan bun gya

Jab sai anjan bun gya hai tou
Dil ka nuqsan bun gya hai tou

Meri duniya sai munh praiy kr k
Kitna nadaan  bun gya hai tou

Tujh ko daikha hai aaj phir mai ne
Kaisa insaan bun gya hai tou

Mere sheroN k ik tasulsul ka
Lufz deevaan bun gya hai tou

Ab bhe krta hon ziker mai tera
Meri pehchan bun gya hai tou

Tere honay sai dil darakta tha
Ab tau mehmaan bun gya hai tou

Khud pe zahir mai ab nehi kerta
Mera armaan bun gya hai tou

Wo tau mushkil sawal hai shaukat
Kitna asaan bun gya hai tou

Sunday, 6 January 2019

Yunhi daamun phailaey

Yunhi daamun phailaey intezar e gham maiN kiya rehna
Kehin bechain lumhoN main chalo ik bar chaltay hain

Thursday, 3 January 2019

Bekali ishq maiN

Bekali ishq maiN itni bhe nehi achi jab
Hosh mumkin na rehay josh salamat na rehay