Friday 25 August 2017

Na Taauluq na wasta rakhna

Na Taauluq na wasta rakhna
Bus sahra main qafla rakhna

Yehi idraaq zindagi sai mila
Zaat apni sai rabta rakhna

Ajnabi pur tapak chahroN sai
Door do gaz ka faasla rakhna

Khak hoti rehiaN hain umeedaiN
Kiya kisi sai ab gila rakhna

Raastay her simat k bund ker k
Dil ke galyuN main raasta rakhna

Mujh sai tanhye meri chahti hai
Rabta sub sai munqatta rakhna

Barda mushkil chuna hai kaam shaukat

Muskuranay ka  hosla rakhna