Sunday 5 March 2017

Ujeray hovey gulshan main koe phool khila dai

Ujeray hovey gulshan main koe phool khila dai
Aiy dost mere ab tau wafaaoN ka sila dai

Sunnta tau hoN akser main tere shikvay shikayat
Na ho jo tassawer mai koe aisa gila dai

Roothi hoe dharkan hai mera dil bhe hai rootha
Ker aisa karishma k jo donoN ko mila dai

Sehnay ko tau seh loN ga mai her sitam bhe tera
Tou chahay tau haathoN sai mujhe zaher pila dai

Daikhay tau haiN mai ne bhe kaie khawab suhanay
Be khof o khater in ke tou taabeer bata dai

Ilzaam bohat mujh pe muhabbat k haiN baqi
Darbar e adal ke koe zanjeer hila dai

Sar ker tau  diya khham ab tere hukam e hijer per
Tanha mujhe jeenay ka saleeqa bhe sikha dai

Naapa nehiN shaukat ne kabhi ishq ke hud ko

Hai tujh ko khaber tau wo tareeqa bhe bata dai