Wednesday 30 January 2019

Kerta hoN mehsoos

Kerta hoN mehsoos teri aankhoN se tera dard
InsaaN hon bejaaN nehi, oar pathher bhe nehI
Jo mohabbat terey honay sai mili hai mujh ko
Wo kisi gohar e nayab sai kamter bhe nehi

Thursday 24 January 2019

mujhe apney zabt pe tha yaqeen


Monday 21 January 2019

Ehsaas mer chuka tha

Ehsaas mer chuka tha ya taqqat ka tha nasha
BuchoN k samnay jo khooN maaN baap ka kiya

Saturday 19 January 2019

Her shay hai os jagah

Her shay hai os jagah, thee mojood jis jagah
Bus umer maiN sabhi ki ik saal ghhat gya

Ye rusm hai Rivayat hai tasali hai dilasa hai

Ye rusm hai Rivayat hai tasali hai dilasa hai
Budalta koch nehi beshaq sirf ik saal budalnay sai
Wohi asmaaN wohi sooruj wohi sobha wohi shamaiN
Nehi rukta koe bhe pal apni chal chalnay sai

Mil gya jawab khamshi

Mil gya jawab khamshi sai humaiN
Haal pathhar sai hum ne poocha tha

Friday 11 January 2019

Jab sai anjan bun gya

Jab sai anjan bun gya hai tou
Dil ka nuqsan bun gya hai tou

Meri duniya sai munh praiy kr k
Kitna nadaan  bun gya hai tou

Tujh ko daikha hai aaj phir mai ne
Kaisa insaan bun gya hai tou

Mere sheroN k ik tasulsul ka
Lufz deevaan bun gya hai tou

Ab bhe krta hon ziker mai tera
Meri pehchan bun gya hai tou

Tere honay sai dil darakta tha
Ab tau mehmaan bun gya hai tou

Khud pe zahir mai ab nehi kerta
Mera armaan bun gya hai tou

Wo tau mushkil sawal hai shaukat
Kitna asaan bun gya hai tou

Sunday 6 January 2019

Yunhi daamun phailaey

Yunhi daamun phailaey intezar e gham maiN kiya rehna
Kehin bechain lumhoN main chalo ik bar chaltay hain

Thursday 3 January 2019

Bekali ishq maiN

Bekali ishq maiN itni bhe nehi achi jab
Hosh mumkin na rehay josh salamat na rehay