Saturday 28 January 2017

Khamoshiyun ke tanni hai chaader diloN ke dharkan yehiN kehiN hai

Khamoshiyun ke tanni hai chaader diloN ke dharkan yehiN kehiN hai
Main dhoondta hon yahaN wahaN kyun jb mera jeevan yehiN kehiN hai

Chalo ab fursat hai ja k apnay makkaaN ke halat ko daikh ayaieN
Budal gya hai jahaN ka munzer per mera aangan yehiN kehiN hai

Havva maiN kulkariyaN haiN shamil fiza main qadmoN ke dheemi chapaiN
Gawahi dil dai raha hai mera k mera buchpan yehiN kehiN hai

JinhoN nae loota sakooN humara jinhoN nae mara hai huq pe daaka
Wo mera dushmun yehiN kehiN hai wo mera rahzan yehiN kehiN hai

SamaaotoN sai jo munsalik haiN javaan lumhoN ke kuch sadayieN
Wo aaj goya hoeiN haiN mujh saiy k mera  saajan yehiN kehiN hai

Yaqeen maiN teray gummaN mai terey nehiN hai shaukat dhiyaaN main teray

Fallak nehiN hai dukhoN ka zaamin ye sari uljhan yehiN kehiN hai


Thursday 26 January 2017

Ye meayar nigahoN ka tha ya kisi tilsum ka asar

Ye meayar nigahoN ka tha ya kisi tilsum ka asar
Hum sai koe ore chaha na gaya tujhe chahnay k baad

Monday 23 January 2017

mukkamal ho rehi hai ab mohabbat

Mukkamal ho rehi hai ab mohabbat
Ye aankh num rehnay lagi hai

Saturday 14 January 2017

gudd mudd khawhishain haiN aisay

gudd mudd khawhishain haiN aisay
january main december ho jaisay

Thursday 12 January 2017

Sunna hay yaad kartay ho usay her shaam tum aksar

SUNNA HAY

Sunna hay yaad kartay ho usay her shaam tum aksar
Zameen k dil pay likhtay ho ussi ka naam tum aksar

Sunna hay chhup k parthay ho puranay khhat k pannon ko
Jalatay ho dokhi ho kar koch paigham tum aksar

Sunna hay ab pilaatay ho dokhi aankhon k aanso tum
Dikhatay ho maikharon ko ab khali jaam tum aksar

Sunna hay dooor sai aatay hain tum sai raazdan milnay
Magar gumm summ he rehtay ho sobha sai shaam tum aksar

Sunna hay khatkhatati hay mohobat jab tumhara dar
Ussi pay rakh daitay ho koe ilzaam tum aksar

Sunna hay raqs karti hay tumharay gird khaamoshi
Sumajhtay ho haqeeqat ko khaiyal-e-khaam tum aksar

Sunna hay jaag jataiy ho achanak niend say shaukat

K jaisay bhool jaatay ho  zaroree kaam tum aksar

APNI SAFAIE ROZ NA MUJH KO DIYA KARO

APNI SAFAIE ROZ NA MUJH KO DIYA KARO
WADA KIYA KARO TAU WO PURA KIYA KARO

WADAE QASMON PE BANAIE HAI JO EMARAT TUM NAI

WADAE QASMON PE BANAIE HAI JO EMARAT TUM NAI
OS KE HER EINT KI HIFAZAT AB WAFA SAI KERNA

KOE WADA NEHI PHIR BHE TERA HAATH THAAM KER

KOE WADA NEHI PHIR BHE TERA HAATH THAAM KER
CHALNA PARA TAU AAKHRI MANZIL TAK JAYIEN GAIY

YE JO KHUSHBOO TERE PAAS SAI AATI HAI MUJHE

YE JO KHUSHBOO TERE PAAS SAI AATI HAI MUJHE
MUJH KO DAITI HAI PATTA TOU SIRF MERA NEHI RAHA

Wednesday 4 January 2017

Chord k kal bhe ja saktay thay, jaldi kiya thee

JALDI KIYA THEE

Chord k kal bhe ja saktay thay, jaldi kiya thee
Thorda waqt bitta saktay thay, jaldi kiya thee

Ahed e wafa ko poora kerna kiya mushkil tha
Tum bhe quol nibah saktay thay, jaldi kiya thee

Akser dhoka daitay hain sub khawab suhanay
Taabeer bata ker ja saktay thay, jaldi kiya thee

Ghar k andhairay door tau hum ker saktay thay
Mil ker deep jala saktay thay, jaldi kiya thee

Weham o gumaaN ki zad main thee gar zaat humari
Khud ko hum sumjha saktay thay, jaldi kiya thee

NazroN main thay chand sitaray gar chay tumharay
Tarey tord k la saktay thay, jaldi kiya thee

Chalay gaey kyun tanha ker k kaha tau hota
Saath tumharay aa saktay thay, jaldi kiya thee

Chain o sakooN ke khatir shaukat hum bhe oskay

Dil main ghar bana saktay thay, jaldi kiya thee


Ye rusm hai revayat hai tassali hai dilasa hai