Wednesday, 4 January 2017

Chord k kal bhe ja saktay thay, jaldi kiya thee

JALDI KIYA THEE

Chord k kal bhe ja saktay thay, jaldi kiya thee
Thorda waqt bitta saktay thay, jaldi kiya thee

Ahed e wafa ko poora kerna kiya mushkil tha
Tum bhe quol nibah saktay thay, jaldi kiya thee

Akser dhoka daitay hain sub khawab suhanay
Taabeer bata ker ja saktay thay, jaldi kiya thee

Ghar k andhairay door tau hum ker saktay thay
Mil ker deep jala saktay thay, jaldi kiya thee

Weham o gumaaN ki zad main thee gar zaat humari
Khud ko hum sumjha saktay thay, jaldi kiya thee

NazroN main thay chand sitaray gar chay tumharay
Tarey tord k la saktay thay, jaldi kiya thee

Chalay gaey kyun tanha ker k kaha tau hota
Saath tumharay aa saktay thay, jaldi kiya thee

Chain o sakooN ke khatir shaukat hum bhe oskay

Dil main ghar bana saktay thay, jaldi kiya thee


No comments:

Post a Comment