Thursday 11 February 2016

mohabbat hai jo khincha chala ata hon


subaq yar mohabbat ka tou padha na mujhe


kabhi mujh sai karo gai jab kinara yad aaoN ga

https://www.facebook.com/photo.php?fbid=10208866447127716&set=a.10205246416229206&type=3&theater&notif_t=likeKABHI MUJH SAI KARO GAIY JAB KINARA

Kabhi mujh sai karo gaiy jab kinara yad aaoN ga
Tasawar mai teray bun k sitara yad aaoN ga

Kabhi niklay jo teri aankh sai ansoo tau chup rehna
Teray hisay ka gham hon main dobara yad aaoN ga

Main apni zaat main uljha hova tau aksar rehta hon
Magar bun k ab khawboN main tumhara yad aaoN ga

Chalo gaiy zeest ke kashti ko jab laiy ker tum sagar main
Main misl tinkay ka toofaN main sahara yad aaoN ga

Kabhi jab bekhayali main tum peechay mor k daikho gaiy
Ubharta doobta phirta awara yad aaoN ga

Sitam bhe tum karo rakho wafa ke aarzoo bhe tum
Teray jaisa he bun k ab main payara yad aaoN ga

Taqabil ker k daikho gaiy tum shaukat ko jab oroN saiy
Main jeevan rah e ulfat main tha hara yad aaoN ga