Monday, 24 December 2018

Hay teray hijer saiy fursat


Hay teray hijer saiy fursat nehi milnay wali
Ab kabhi wasl ke daulat nehi milnay wali

Main nay jana hay haqeeqat ko jannooN main kho ker
Onn saiy thhori se aqeedat nehi milnay wali

Chal kahin dhoond rustay main wafa k moti
Ab kisi sheher main izat nehi milnay wali

Teri wehshat nay kiya dil ka sakoon bhe gharat
Aisi hallat main hay rahat nehi milnay wali

Hay aseeri he ulfat tau banna reh qaidi
Teray ashkon ke bhe qeemat nehi milnay wali

Tou nay daikhay hain khulli aankh saiy kuch khawab zaroor
Dar hay ab niend ke luzzat nehi milnay wali

Aiy khatakar –e-mohabbat  kyun derta hai ab
Tujh ko apni he rafaqat nehi milnay wali

Janay walay nay muqader main teray likha shaukat
Iss gunahgar ko chahat nehi milnay wali
 

Jaanum teray baghair kab


Jaanum teray baghair kab zinda raha hon main
Her pehr her ghadi yahan merta raha hon main

Dukh zindagi ko ghayal kertay rehay meri
Ik kerb-e-musalsal saiy guzerta raha hon main

Jo loog apni jan saiy aziz thhay mujhay
Onn ke wafa ko akser tarusta raha hon main

Bikhray jalay muqaam milay safer-e-hayat main
Daamun ko apnay raakh saiy bherta raha hon main

Teri yad nay bhe likh dee muqader main baykali
Qismat k iss khail pay hunsta raha hon main

Hain aashna yahan meray dardon k qaaflay
Bus inn k dermiyan he chalta raha hon main

Rakhta hon her qadam main ab phoonk phoonk ker
Apnay he saaiy saiy bhe derta raha hon main

Aaj hon main oss jagah jahan manzil nehi shaukat
Ruston saiy baywaja he lardta raha hon main