Friday, 10 February 2017

MunzilaiN dum tord gaieN musafataiN dum tord gaieN

MunzilaiN dum tord gaieN musafataiN dum tord gaieN
Zindagi sai apni sari mohabbataiN dum tord gaieN

Raaz main rakhta raha main mohsonnoN ke inaeyetaiN
Ab tau dil ke sari apni runjishaiN dum tord gaieN

Rah numaiye sai bhe nalaaN ho gaey apnay naseeb
MusafiroN sai raastoN ke ulfataiN dum tord gaieN

Ab na aana k khizaaN nae ker diya soonna humaiN
Rufta rufta iss chammon ke ronakaiN dum tord gaieN

Jab bhe chaha hum nae chalna be subub aisa hova
Thhum gya chalta waqat ore sa’ataiN dum tord gaieN

Modd k daikha her ghadi hum nae tumhari oor bhe
Tou raha Sakin wahiN tau  khawhishaiN dum tord gaieN

Aarzoo hae na tamanna ab humaiN shaukat koe

Zaat sai apni humari qurbataiN dum tord gaieN

KhawboN ka aitebaar na kerna

KhawboN ka aitebaar na kerna
ye jala daiN gai zindagi ko teri

Gham bantnay ke koe zaroorat nehi sahib

Gham bantnay ke koe zaroorat nehi sahib
Gar ho sakay tau haal mera pooch liya kraiN