Wednesday 2 March 2016

AAO AB TARK E TAALUQ KA

AAO AB TARK E TAALUQ KA

Aao ab tark e taaluq ka madava ker daiN
Apnay bigray hovey halaat ka charcha ker dain

Khawhish e hijer o wasal sai ab aa ker bahir
Apni tareek fizaaoN main ujala ker daiN

Hum nay jis shan sai bharkayie hai aatish e wafa
Hum osi shan sai iss aag ko thanda ker daiN

Wo jo kehtay hain gham oor bhe hain mohabbat k siva
Onn ke sochoN ko ab apna irada ker daiN

Ashaq jo bun k baha khoon e jigar ab osko
Yehi behter hai k paani sai bhe sasta ker daiN

Hasil tau nehi hum ko hova wasal ka sakooN
Kyun na phir hijer e musalsal ko he taza ker daiN

Ayienay daitay hain sudmoN k havalay ab tau
Her havalay ko ab chahroN sai chalta ker daiN

Hai tau mushkil mgr jeenay k liye lazim shaukat

Apni husti ko haqeeqat sai shanasa ker daiN