Friday 23 February 2018

Mian tujh ko sunaata hon jo roodad main hai

Mian tujh ko sunaata hon jo roodad main hai
Ik pari zad ka paiker dil e berbaad main hai

Jab sai aya hai meray dil k nihaan khanay mai
Aik halchal see muchi gosha e abaad mai hai

Wo husan e mujassam go mera humdam tau nehi
Phir bhe ehsaas e rafaqat meray humzaad mai hai

Jhoomta hon tau qadam rukktay nehi hain meray
Jaisay quowat e junon raqs e saiyaad mai hai

Ik zabt e musalsal jo graizan hai fughaan sai
Kiya bataon kiya husrat meri feryaad mai hai

Meri aankhon main nehin lutf e sakoon ka munzer
Job he mojood hai munzer wo teri yaad mai hai

Qurb e yaraan ka jo ehsaas hova hai shaukat

Is takhiyul ka tasalsul dil e na shad mai hai