Saturday 24 November 2018

Daiy ker tanhyie ke doulat tum ne

Daiy ker tanhyie ke doulat tum ne
Dil e barbaad ko ghar main abad kiya

Saturday 17 November 2018

Tou zakham-e-judaie ko tammana main mila kar


Tou zakham-e-judaie ko tammana main mila kar
Khod apnay he haaton sai ye zeher piya kar

Takleef main ehsaas-e-mohobat ko dubo kar
Umeed ke kirno’n main tou rooz jiya kar

Daikhay jo teray haal ko apnay main sumo ker
Aisay he kisi shakhs sai tou piyar kiya kar

Jeenay main kehin sokh  ore kehin dard-e-jahan hai
Haaton kee lakeeron ko na dosh diya kar

Jalta hai jism tera agar roog-e-wafa main
Parwanay kee jurrat ko tou yaad kiya kar

Bhikhray howay patton sai nashaimun ko saja kar
Ujaray howay logoon ko abaad kiya kar

Sumjhay jo tera dard koe aisa wali ho
Barbaad dilon main usay dhoondh liya kar

Wo kaun hai shaukat jo mubera hai dokhon sai
Aflaas ke basti main zara jhaank liya kar

Sunday 11 November 2018

Bikhra hai raat din meri zaat ka wajood

Bikhra hai raat din meri zaat ka wajood
Soya nehi sakooN sai kisi bhe roz maiN

Sunday 4 November 2018

Aankh purnum bhe nehi dil praishan bhe nehi


Aankh purnum bhe nehi dil praishan bhe nehi
Oss saiy milnay k leye koe saaman bhe nehi

Dil main rehta hay koe saans laita hay koe
Naam dainay k leye koe unwaan bhe nehi

Mera rahber bhe nehi mera qaatil bhe nehi
Itna mehnga bhe nehi itna arzaan bhe nehi

Abhi rakha hay qadam oss nay dunya main meri
Karon sujda main usay aisa eeman bhe nehi

Saath rakhon main usay apnay saaiy ke tarah
Itna mushkil bhe nehi itna asaan bhe nehi

Dooor main ja na sakon paas aanay bhe na doon
Mera apna bhe nehi koe mehman bhe nehi

Janay kis simat saiy wo shamil-e-sooch howa
Paas busti bhe nehi koe aastan bhe nehi

Ye chhupa dard kehin jaan lay lay na kehin
Iss khari baat saiy ab shaukat anjan bhe nahi