Aankh purnum bhe nehi dil praishan bhe nehi
Oss saiy milnay k leye koe saaman bhe nehi
Dil main rehta hay koe saans laita hay koe
Naam dainay k leye koe unwaan bhe nehi
Mera rahber bhe nehi mera qaatil bhe nehi
Itna mehnga bhe nehi itna arzaan bhe nehi
Abhi rakha hay qadam oss nay dunya main meri
Karon sujda main usay aisa eeman bhe nehi
Saath rakhon main usay apnay saaiy ke tarah
Itna mushkil bhe nehi itna asaan bhe nehi
Dooor main ja na sakon paas aanay bhe na doon
Mera apna bhe nehi koe mehman bhe nehi
Janay kis simat saiy wo shamil-e-sooch howa
Paas busti bhe nehi koe aastan bhe nehi
Ye chhupa dard kehin jaan lay lay na kehin
Iss khari baat saiy ab shaukat anjan bhe nahi
No comments:
Post a Comment