Sunday, 6 October 2019

Rufta rufta dil ko meray



Rufta rufta dil ko meray gulistaaN ker he gaya
Aik dhoka runj o gham ko daastaN ker he gaya

Guftagoo rukhsar o lub ke ajnabi achi lagi
Muskorana tera mujh ko bud gumaaN ker he gaya

Phir havayieN shaor kertien jism main dakhil hoien
Munchala moasum humain phir se javaN ker he gaya

Bay subub ekhlaas ke garmi ne poocha hum se yuN
Kon tha jo iss zameeN ko aasmaaN ker he gaya

Daikhtay hain baam o dar chhup ker meray andaz ab
Bay khaber husti ko meri khush gumaaN ker he gaya

Na jala ab wo diya jo bujh gaya ik phoonk saiy
Na bujha wo aag jo roshun diya ker he gaya

Muflisi ke dhoop maiN jo ishq bun k saath tha
Jatay jatay rastoN maiN Koch dhoowaN ker he gaya

Waqt ne rukhsat kiya Koch dair se shaukat tujhay
Hum sufer manzil ko teri meherbaaN ker he gaya