Monday 18 December 2017

Dau satroN maiN baat humari poori ho ye mumkin nehi

Dau satroN maiN baat humari poori ho ye mumkin nehi
Tum bhe thora waqt nikalo hum bhe zehan banatay haiN

Friday 15 December 2017

Udas shaam k dhaltay hovay soruj tum ne

Udas shaam k dhaltay hovay soruj tum ne
Bey wajah saher sai laga le hai wafa ke umeed 

Saturday 2 December 2017

Wabal e gham ko jawaN krain gaiy


Wabal e gham ko jawaN krain gaiy
Phir apni hallat biyaN krain gaiy

MilaiN gaiy jb bhe kabhi hum tum sai
Tau muskura k hairaaN krain gaiy

Nazar main rakhain gaiy sari ulfat
Na lub hila kr ayaaN krain gaiy

Kabhi jo toota ye zabt humara
Tau hr chammon pe khizaaN krain gaiy

Sataaeye gi jb khalish tumhari
Milan ka tum saiy gumaaN krain gaiy

Kal aa k teri gali main janaN
Hisaab saray wahaN  kraiN gaiy

Qasam Khuda ke ye tum sai wada
Jala k ulfat dhuwaN krain gaiy

Ujard de kis ne busti shaukat

yahaN wahaN ab makaN krain gaiy.

Saturday 11 November 2017

Bazi laga k khud he kertay rehay gumaaN

Bazi laga k khud he kertay rehay gumaaN
Jeeta hai wo ya hum ne pulti basaat hai

Monday 6 November 2017

Os rah e judaie pe qadam rakhnay k baad

Os rah e judaie pe qadam rakhnay k baad
Her Pal raha gummaN terey saaey ka humain

Friday 27 October 2017

Koe gham nehi jo paas aya karay koe


Koe gham nehi jo paas aya karay koe
Aa ker magar ye dil na dukhhaya karay koe

Ik Arzoo humaray hay mun main busi hoe
Ziker-e-wafa saiy dil ko behlaya karay koe

Wo aaj kal nehi hain iss ghar ke ronaqain
Haathon saiy apnay ghar ko sujaya karay koe

Taskeen iss jahan main mushkil hay mil sakaiy
Rusta sakoon ka hum ko dikhaya karay koe

Ye dharkanain qarar paaien tau kis taran
Itna bhe ab na yaad aaya karay koe

Dukh dard ke fiza saiy hum aagay nikal gaeaiy
Maazi na hum ko yaad dilaya karay koe

Aankhon k bardh gaeaiy hain neindon saiy faslaiy
Haathon saiy thhapthapa k sulaaya karay koe

Jurm-e-wafa nay shaukat mujrim bana diya

Haq main humaray faisla sunaya karay koe

Tuesday 17 October 2017

Shaffaaf ab raha nehiN meri zaat ka libaas

Shaffaaf ab raha nehiN meri zaat ka libaas
Gard safer e zeest ke bohat ander tak jum gaie

Friday 13 October 2017

Diya hai dard os ne bhe

Diya hai dard os ne bhe
zindagi jisay sumjha hum ne

Sunday 8 October 2017

Phir teri yaad ne abaad kiya dil

Phir teri yaad ne abaad kiya dil
Phir hum khud sai la ta'aluq ho gaey

Zindagi main jo hum ko mila kho diya

Zindagi main jo hum ko mila kho diya
Janay kis cheez ko kis jagah kho diya

Loog kertay rehay apna apna safer
Hum ne manzil ka apni pata kho diya

Gham ke taseer meethi ab lagnay lagi
Jism nae jeenay ka zaiqa kho diya

Jatay jatay wo ik pal rukka tha magar
Koch kehnay ko tha lafz kiya kho diya

Poochtay hain sabub khamoshi ka loog
Kiya kahoN hum nae haq e sada kho diya

Na jala ab andhairay main koe deeya
Hum nae din raat sai wasta kho diya

Kon mujrim hai munsif hai shaukat bata

Kis nae kis ke wafa ka sila kho diya

Sunday 1 October 2017

Apni chahat mai aaney waloN sai

Apni chahat mai aaney waloN sai
Kerbla tou ne bewafaie ke

Sunday 24 September 2017

Boey nehi kaantay raahoN maiN kisi ke

Boey nehi kaantay raahoN maiN kisi ke
Phir paaoN meray apnay lahoo lahoo kyun haiN


Thursday 21 September 2017

RABTAY MAZBOOT NEHI KHABER HAI LAIKIN

RABTAY MAZBOOT NEHI KHABER HAI LAIKIN
TA'ALUQ PE BHAROSA HAI YAQEEN HAI HUMAIN

Saturday 16 September 2017

Magun rehay khud apni zaat maiN itna

Magun rehay khud apni zaat maiN itna
Tum sai rabta tau raha Ta'aluq na bana

Wednesday 13 September 2017

Kon sa rishta rakhoN tujh sai

Kon sa rishta rakhoN tujh sai
Mohabbat ka ya phir judai ka

Sunday 10 September 2017

Khawb jo tabeer k bina thehray

Khawb jo tabeer k bina thehray
Mukhtasir thehray magar mehmaN thehray

Hum nai pehchan apni mangi thee
Wo tau khud he be nishaN thehray

SarnagoN ho gaey haadsay dil k
Bukhat jab hum pe meherbaN thehray

Ik takallum jo humaiN yaad hai onka
Kis tarah aaye ore kis jagah thehray

Jis takhiyul sai hoe tashkeel e ghazal
Wo khayalat bhe ab moajza thehray

Jin pe afsha hovay zindagi k raaz
Wo meri zaat k raazdaN thehray

ZabaN sai keh na saka jo shaukat

Lufz wo mar k jawidaaN thehray

Wednesday 6 September 2017

TUJH SE JO BAAT MAIN BUND AANKH KIYA KERTA HON

TUJH SE JO BAAT MAIN BUND AANKH KIYA KERTA HON
WOHI LIKH DAITA HON SHAYER KE TARAH KAAGHAZ PE

Friday 25 August 2017

Na Taauluq na wasta rakhna

Na Taauluq na wasta rakhna
Bus sahra main qafla rakhna

Yehi idraaq zindagi sai mila
Zaat apni sai rabta rakhna

Ajnabi pur tapak chahroN sai
Door do gaz ka faasla rakhna

Khak hoti rehiaN hain umeedaiN
Kiya kisi sai ab gila rakhna

Raastay her simat k bund ker k
Dil ke galyuN main raasta rakhna

Mujh sai tanhye meri chahti hai
Rabta sub sai munqatta rakhna

Barda mushkil chuna hai kaam shaukat

Muskuranay ka  hosla rakhna

Wednesday 23 August 2017

MAIN JO ISHQ KA SULTAN BANNA PHIRTA HON

MAIN JO ISHQ KA SULTAN BANNA PHIRTA HON
TUJH SAI ULFAT KE DAIN HAI TERI QASAM

Tuesday 15 August 2017

Mujhe kyun nikala mujhe kyun nikala


Monday 14 August 2017

Khoshi main dard k lamhay talash karta hon

Khoshi  main  dard  k  lamhay  talash  karta  hon
Apnay  wajood  k  tukray  talash  karta  hon

Main  apni  zeest  ke  un ginnat  takleefon  main
Apnay  leye  sudmay   talash  karta  hon

Hay  aziyiat  nahi  shaamil  meri  fitrat  main
Tujh  say  milnay  k  rastay  talash  karta  hon

Jo bas gaya hay  meray  dil  ke  gahraiyon  main
Oss  ko  paanay  k  harbay  talash  karta  hon

Naamay  mohabat  k  jo  jala  deiye  thhay  kabhi
Main  onn  khatoot  k  purzay  talash  karta  hon

Raat  bhar  jaag  kar  aasmaan  ore  sitaaron  main
Tootay  howay  taaray  talash  karta  hon

Bhatakta  rehta hon  aalim-e-dargoor  main  bhe
Bikhray  howay   kutbay  talash  karta  hon

Main  dhaamp   kar  dil  ke  kaifiat  shaukat
Her  jaga  apnay  payaray  talash  karta  hon

Salamat hae teray dum sae meri izat o hurmat bhe



Salamat hae teray dum sae meri izat o hurmat bhe
Kahan milti siva teray mujhey jeenay ke rahat bhe

Teri mutti sae mjh ko pyar kyun na ho meray mohsin
Mujhey maaN ke tarah paala, bukhshi shan o shaukat bhe

Teri tashkeel Pakistan ALLAH ke innayat hae
Nazar aati hae jis main oss ke neamat ore rehmat bhe

Tera jhhanda meri pehchan banta hae jahan jaaoN
Mili hae mjh ko izat bhe rafaqat bhe mohabbat bhe

Qaraz kaisay teray ehsaan ka Shaukat utaray ga
Fida hae aan pr teri, meri ab jaaN ke doulat bhe


Saturday 12 August 2017

BIKHRI PADI THEE ZAAT MERI SORAT E KIRCHIYAN

BIKHRI PADI THEE ZAAT MERI SORAT E KIRCHIYAN
OON KIRCHIYUN MAIN KHUD KO THA TALASH KRNA MUJHE

YE JO SAYA SA DIKHTA HAI CHAAND MAI

YE JO SAYA SA DIKHTA HAI CHAAND MAI
MERI ZAAT K DHABON KA AKS HAI

Saturday 29 July 2017

Aiy dost tou milney sai graizan na hova ker

Aiy dost tou milney sai graizan na hova ker
Runjeeda hai dil tera tau mujhe roz mila ker

Thhak tou bhe chukka hai ab zamaney k fasooN sai
Girnay lagaiy jab bhe tau mujhey thhaam liya ker

MaiN dukh nehi daita,  garchay zaat sai apni
Phir bhe koe shaq ho tau mujhey moaf kiya ker

Khoo jata hai saya bhi iss bheed main ab tau
Tou dhoop main  soruj ke jaanib na chala ker

Her doar main insaaN nae kahaN saath diya hai
Tasleem haqeeqat ko tou khush ho k kiya ker

Daita hon main paigham jo shair o sukhan main
LafzooN ke banawat pe zara ghor kiya ker

Mana k jeeven ke kathan rah hai shaukat

Phir bhe kabhi taqdeer sai shikva na kiya ker

Tuesday 25 July 2017

MUKAMMAL THA MAI HER IK ZAVIYE SAI

MUKAMMAL THA MAI HER IK ZAVIYE SAI
KAMMI THEE TAU SIRF IK TOU NEHI THA

Monday 24 July 2017

Ab tau tasveer e mohabbat meri taqdeer maiN aa



Ab tau tasveer e mohabbat meri taqdeer maiN aa
Meri aashufta tanhyie ke jageer maiN aa

Parda bikhra he rehnay daiy meray khawboN ko
Tujh ko aana hai tau suj dhuj k taabeer maiN aa

Isi hasrat maiN jawaan rakha mohabbat tujh ko
Tou ghazal bun k meray ashaar ke tehreer maiN aa

Tou bharoosa hai mera ye tau khabar hai laikin
Meri husti sai jurdi payar ke zanjeer maiN aa

Iss tara mujh main samaa ja k zamana daikhay
Tou jahan bhe ho nazer meri tasveer maiN aa

Sahil e zeest saiy bhaija hai sandaisha main nay
Aa meray shoq e ibadat meri taskheer maiN aa

Meray aangan mai mehak phaili hai zakhmoN ke magar
Laiy k aflaak ke khushboo apni taaseer maiN aa

Kiya massraf hai teray raqs e janooN ka shaukat
Na balad aqal o khirud ab kisi tadbeer maiN aa

Thursday 20 July 2017

WAQT NE KER DIYA AAGAHI SAI MEHROOM MUJHE

WAQT NE KER DIYA AAGAHI SAI MEHROOM MUJHE
KOE TAU YAAD DILAYE K MAIN ZINDA HON

Wednesday 19 July 2017

Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy


Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy
Tujhay yaad ayee bhe tau jab meray sapnay saaray bikhar gaiaiy

Teri bandagi k hasool main, main kahan kahan say guzar gaya
Mila mujh ko koe na aashiyan mairay din andhairon sai bhar gaiaiy

Na he raaston ke khaber mili na he manzilon ka pata mila
Meri zindagi k wo char din issi jostujo main guzar gaiaiy

Koe pal sahara na daiy saka teri yaad say nijaat ka
Sobho sham rehay yehi mashghalay saaray ashk bai-asar gaiaiy

Tera dil jo bayqarar tha kabhi mujh pay dil-o-jaan say
Teray roothhnay say o sanum meray dil main khhanjar utar gaiaiy

Koe fiker laahuq na thhe humain kabhi apnay ranj-o-malal ke
Meray kal ore aaj k saaray dokh gham-e-hijran main badal gaiaiy

Kab hum nay jujh say gila kya kabhi apnay dard-e-baihaal ka
Baray hoslay ke ye baat thhe inhe hoslon main hum mar gaiaiy

Dil-e-natawan ke ye kaifiat, shaukat aag bun kar sama gaei
Janay kitnay mousam issi tara meray saahilon say guzar gaiaiy

Saturday 15 July 2017

Aiy merey dost mujhe khud sai mukhatib kerna


Jab meri aankh sai girnay lagaiN gham k aansoo

Ore chha jaey udasi ki ghata chahray pe

Tab meri saansoN ke hifazat kerna

Aiy merey dost mujhe khud sai mukhatib kerna

 

Jab saraboN sai koe awaz pukaray mujh ko

Ore nazer anay lagaiN sehrah mai sitaray mujh ko

Tab meri saansoN ke hifazat kerna

Aiy merey dost mujhe khud sai mukhatib kerna

 

Jab merey jism ko saakit sa parda tum daikho

Bund aankhoN sai ansoo ko nikalta tum daikho

Tab meri saansoN ke hifazat kerna

Aiy merey dost mujhe khud sai mukhatib kerna

 

Jab mehsoos karo mujh pe naza ka hai moqaam

Loog pardhnay lagaiN aazadi e rooh k kalaam

Tab meri saansoN ke hifazat kerna

Aiy merey dost mujhe khud sai mukhatib kerna

Thursday 13 July 2017

Jagaaya niend sai jub bhe jamal-e-yar nai hum ko

Jagaaya niend sai jub bhe jamal-e-yar nai hum ko
Rulaaya sehar honay tak firaq-e-yar nai hum ko

Kabhi jo bermala poocha tumhara hal kaisa hai
Tazubzub mai leye rakha sawal-e-yar nai hum ko

Kisi k aks main soorat kabhi onn ke nazar aaie
Dikhaaya iss tarah jalwa kamal-e-yar nai hum ko

Kabhi talkhi kabhi nermi kabhi purnum se nazron sai
Sunaaya hal-e-dil apna mizaj-e-yar nai hum ko

Bazahir hijer honay sai mohobbat mer nehi jati
Bataaya aa k aankhon main wisal-e-yar nai hum ko

Gila wada nibhanay ka bhala hum kis tarah kartay
Koe lumha nehi bukhsha hijab-e-yar nai hum ko

Tamana hum nay he ke thhee qafas main bund rehnay ke
Sunaaie qaid umer bhar ke jalal-e-yar nai hum ko

Sajaaie tum nay jab mehfil tanhyie main koe shaukat
Mukhatib kar leya khud sai nigah-e-yar nai hum ko



Ja baja tera tasawer iss qadr tadpaie ga

Ja baja tera tasawer iss qadr tadpaie ga
Chain say jeenay na daiga aansowon ko laaye ga

Hijr k taptay sehrah main aik pal ka chain bhe
Zindagi k raaston ka roog banta jaaye ga

Koch nehi haasil kya aiy dil lagi teray siwa
Iss chobhan main dil mera her pal sulagta jaaye ga

Kaash hum bhe rok suktay dard k toofan ko
Kya mazahemat ab karain ye ore badhta jaaye ga

Chhaid na ab aa k tou aiy ishq meri jaan ko
Teri garmi say budan mera pighalta jaaye ga

Rakh diya hay hum nay khud ko aandhiyon k haat per
Sung hawa k baadalon main khud he orta jaaye ga

Main adhora hon teray bin aaj gar keh do’n tujhay
Gom som khhada reh jaaye ga ya chhop k roota jaaye ga

Shaukat  pighalta he raha tou  garme-e-ikhlaas say

Dooor reh kar bhe tou uskay naam say jalta jaaye ga

Sunday 2 July 2017

RAKH KER KEHIN BHOOL GAEY HER KHUSHI APNI

RAKH KER KEHIN BHOOL GAEY HER KHUSHI APNI
AB TALAK NARAZ HAI MUJH SAI MERI TASVEER

HAY DASTOOR E WAFA YE K DOOOR JANEY SAI

HAY DASTOOR E WAFA YE K DOOOR JANEY SAI
FAASLAY BARDH JATEY HAIN ORE MOHABAT BHE

Friday 30 June 2017

Main nae likh diya jo jagah jagah

Main nae likh diya jo jagah jagah
Wohi zindagi ke kitaab hai
Isay tou sumajh sakay agar
Tau ye aaj tak ka hisaab hai

Ye kitaab mujh ko aziz hai
Kyun k tou bhe is main shareek hai
Isay maan loN  gar zindagi
Tau ye bikhra bikhra gulaab hai

Her warq daita hai roshni
Teray aks ke teray lums ke
Main sumait lon tau kis tarah
Ye mohabbatoN ka sailaab hai

Koe tazkera koe tabsara
Teray shokh husn e Jamaal ka
Subhi ker diya main nae biyaN
Kyun k tou he shayer ka khawb hai

Teray khayal teri shakal main
Meri kertay hallat ajeeb hain
Teray aas pas ik saya bhe
Mujhey lagta manind azab hai

Na mita saka koe zehan sai
Jo sabaq tha mai nae padha hova
Na bhuja shama e wafa kabhi

Yehi ishq ke mehraab hai