Thursday, 13 July 2017

Jagaaya niend sai jub bhe jamal-e-yar nai hum ko

Jagaaya niend sai jub bhe jamal-e-yar nai hum ko
Rulaaya sehar honay tak firaq-e-yar nai hum ko

Kabhi jo bermala poocha tumhara hal kaisa hai
Tazubzub mai leye rakha sawal-e-yar nai hum ko

Kisi k aks main soorat kabhi onn ke nazar aaie
Dikhaaya iss tarah jalwa kamal-e-yar nai hum ko

Kabhi talkhi kabhi nermi kabhi purnum se nazron sai
Sunaaya hal-e-dil apna mizaj-e-yar nai hum ko

Bazahir hijer honay sai mohobbat mer nehi jati
Bataaya aa k aankhon main wisal-e-yar nai hum ko

Gila wada nibhanay ka bhala hum kis tarah kartay
Koe lumha nehi bukhsha hijab-e-yar nai hum ko

Tamana hum nay he ke thhee qafas main bund rehnay ke
Sunaaie qaid umer bhar ke jalal-e-yar nai hum ko

Sajaaie tum nay jab mehfil tanhyie main koe shaukat
Mukhatib kar leya khud sai nigah-e-yar nai hum ko



No comments:

Post a Comment