Monday 4 March 2019

Usay kaha tha kabhi na milna


Usay kaha tha kabhi na milna udas raatoN ke chandni main
K so raha hoN maiN aankh kholay qamer ki thhundi se roshni maiN

Mujhe jaga k mera tasawer na tod daina tum aashqi main
Ye hum ne mana k sb hae jaiyz mohabbatoN ore dushmani main

Nazar mila k sawal kerna bharam ye hum ne tumhain diya hai
Khud apni pulkain utha na paey kisi mukhatib ke dosti main

Safer main kitna shaor laiker chalay thay manzil ke ore hum bhe
Sumajh na paey raastoN ke rukawatain hum bekali main

Humaray aansoo kisi ne beshaq kabhi na ponchhay thay zindagi main
Magar humara shafiq chahra kabhi na budla ghami khushi main

sadayieN jo be aser rehi theiN duayeN jo be sumer thahrieN
unhi se kertay rehay haiN shikwa teri mohabbat ke tishnagi main

qafas main paband ho k hum ne  nazar ko dar pe rakh liya tha
sunaiye de na kabhi bhe dastak hawa ore patoN ke raagni main

qasoor yehi tha bus humara k chaha tha shaukat ne sath tera
bhula na paey wo zindagi bhar jo ke riyazat teri kami maiN