Monday, 4 June 2018

Meray naqsh kee badaulat mujhay shadman na sumjho

Meray naqsh  kee  badaulat  mujhay  shadman na sumjho
Meri  khosh  khaslatti  ko  meri  daastan na samjho

Koe  ghum  nahi  jo  thehro  mairay  saaye main zara  dair
Main  shajer  hoon  raastay ka mujhey  aashiyan na sumjho

Main  yehan  bhuttak  raha hoon ghum-e- zindagi othaaye
Main  chamon main ajnabi hoon mujhey baaghban na sumjho

Koch  bhooli  busree  yaadain  meri  zaat  main daffun hain
Main  shaayer-e-sokhun  hoon  mujhey raazdan na sumjho

Rahein dooor tak sitaray meray saat saat chaltey
Main shamil-e-suffer hoon mujhay karwan na sumjho

Abhi koch hay dair baaqi meri zindagi kee hud main
Main naa tawan hoon laikin mujhay bayzaban na sumjho

Kal tak rahay jo shaamil teri zindagi main shaukat
Kehtay hain hum ko apnay ab darmiyan na sumjho



Aik aurat thee meri maaN ke shakal maiN shaukat

Aik aurat thee meri maaN ke shakal maiN shaukat
Ja baja jis ne sumbhala hai mujhe girnay sai