Thursday, 13 July 2017

Jagaaya niend sai jub bhe jamal-e-yar nai hum ko

Jagaaya niend sai jub bhe jamal-e-yar nai hum ko
Rulaaya sehar honay tak firaq-e-yar nai hum ko

Kabhi jo bermala poocha tumhara hal kaisa hai
Tazubzub mai leye rakha sawal-e-yar nai hum ko

Kisi k aks main soorat kabhi onn ke nazar aaie
Dikhaaya iss tarah jalwa kamal-e-yar nai hum ko

Kabhi talkhi kabhi nermi kabhi purnum se nazron sai
Sunaaya hal-e-dil apna mizaj-e-yar nai hum ko

Bazahir hijer honay sai mohobbat mer nehi jati
Bataaya aa k aankhon main wisal-e-yar nai hum ko

Gila wada nibhanay ka bhala hum kis tarah kartay
Koe lumha nehi bukhsha hijab-e-yar nai hum ko

Tamana hum nay he ke thhee qafas main bund rehnay ke
Sunaaie qaid umer bhar ke jalal-e-yar nai hum ko

Sajaaie tum nay jab mehfil tanhyie main koe shaukat
Mukhatib kar leya khud sai nigah-e-yar nai hum ko



Ja baja tera tasawer iss qadr tadpaie ga

Ja baja tera tasawer iss qadr tadpaie ga
Chain say jeenay na daiga aansowon ko laaye ga

Hijr k taptay sehrah main aik pal ka chain bhe
Zindagi k raaston ka roog banta jaaye ga

Koch nehi haasil kya aiy dil lagi teray siwa
Iss chobhan main dil mera her pal sulagta jaaye ga

Kaash hum bhe rok suktay dard k toofan ko
Kya mazahemat ab karain ye ore badhta jaaye ga

Chhaid na ab aa k tou aiy ishq meri jaan ko
Teri garmi say budan mera pighalta jaaye ga

Rakh diya hay hum nay khud ko aandhiyon k haat per
Sung hawa k baadalon main khud he orta jaaye ga

Main adhora hon teray bin aaj gar keh do’n tujhay
Gom som khhada reh jaaye ga ya chhop k roota jaaye ga

Shaukat  pighalta he raha tou  garme-e-ikhlaas say

Dooor reh kar bhe tou uskay naam say jalta jaaye ga