Monday 23 September 2019

Hum se chhorda na gya tum se baanta na gya

Hum se chhorda na gya tum se baanta na gya
Wo tera gham jo busa hae meri aankhoN maiN

Sitam karo ya karam hum gila nehi kartay


Sitam karo ya karam hum gila nehi kartay
Khizaan main phool yaqeenan khila nehi kartay

Mila dau khaak main hum ko magar khayal rehay
K hum saiy loog dobara mila nehi kartay

Ajab sakoot sa taari haiy onn ke nazron main
K jaisay ab wo kisi saiy wafa nehi kartay

Unhi k dam saiy haiy roshan ye mehfil shair-o-sukhan
Ye ore baat haiy wo yahan dikha nehi kartay

Jo dhoondtay hain khushi udaas chehron main
Unhi ke aankh saiy aanso gira nehi kartay

Kabhi tau badlay gi duniya kabhi tau badlain gaiy rung
Abhi tau ashak humaray rukka nehi kartay

Kahan khayal maseeha ko aaj haiy shaukat
Kahan hain loog jo dushman howa nehi kartay