Wednesday, 19 July 2017

Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy


Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy
Tujhay yaad ayee bhe tau jab meray sapnay saaray bikhar gaiaiy

Teri bandagi k hasool main, main kahan kahan say guzar gaya
Mila mujh ko koe na aashiyan mairay din andhairon sai bhar gaiaiy

Na he raaston ke khaber mili na he manzilon ka pata mila
Meri zindagi k wo char din issi jostujo main guzar gaiaiy

Koe pal sahara na daiy saka teri yaad say nijaat ka
Sobho sham rehay yehi mashghalay saaray ashk bai-asar gaiaiy

Tera dil jo bayqarar tha kabhi mujh pay dil-o-jaan say
Teray roothhnay say o sanum meray dil main khhanjar utar gaiaiy

Koe fiker laahuq na thhe humain kabhi apnay ranj-o-malal ke
Meray kal ore aaj k saaray dokh gham-e-hijran main badal gaiaiy

Kab hum nay jujh say gila kya kabhi apnay dard-e-baihaal ka
Baray hoslay ke ye baat thhe inhe hoslon main hum mar gaiaiy

Dil-e-natawan ke ye kaifiat, shaukat aag bun kar sama gaei
Janay kitnay mousam issi tara meray saahilon say guzar gaiaiy

No comments:

Post a Comment