Friday, 30 June 2017

Main nae likh diya jo jagah jagah

Main nae likh diya jo jagah jagah
Wohi zindagi ke kitaab hai
Isay tou sumajh sakay agar
Tau ye aaj tak ka hisaab hai

Ye kitaab mujh ko aziz hai
Kyun k tou bhe is main shareek hai
Isay maan loN  gar zindagi
Tau ye bikhra bikhra gulaab hai

Her warq daita hai roshni
Teray aks ke teray lums ke
Main sumait lon tau kis tarah
Ye mohabbatoN ka sailaab hai

Koe tazkera koe tabsara
Teray shokh husn e Jamaal ka
Subhi ker diya main nae biyaN
Kyun k tou he shayer ka khawb hai

Teray khayal teri shakal main
Meri kertay hallat ajeeb hain
Teray aas pas ik saya bhe
Mujhey lagta manind azab hai

Na mita saka koe zehan sai
Jo sabaq tha mai nae padha hova
Na bhuja shama e wafa kabhi

Yehi ishq ke mehraab hai

No comments:

Post a Comment