Rufta
rufta dil ko meray gulistaaN ker he gaya
Aik
dhoka runj o gham ko daastaN ker he gaya
Guftagoo
rukhsar o lub ke ajnabi achi lagi
Muskorana
tera mujh ko bud gumaaN ker he gaya
Phir
havayieN shaor kertien jism main dakhil hoien
Munchala
moasum humain phir se javaN ker he gaya
Bay
subub ekhlaas ke garmi ne poocha hum se yuN
Kon
tha jo iss zameeN ko aasmaaN ker he gaya
Daikhtay
hain baam o dar chhup ker meray andaz ab
Bay
khaber husti ko meri khush gumaaN ker he gaya
Na
jala ab wo diya jo bujh gaya ik phoonk saiy
Na
bujha wo aag jo roshun diya ker he gaya
Muflisi
ke dhoop maiN jo ishq bun k saath tha
Jatay
jatay rastoN maiN Koch dhoowaN ker he gaya
Waqt
ne rukhsat kiya Koch dair se shaukat tujhay
Hum
sufer manzil ko teri meherbaaN ker he gaya
No comments:
Post a Comment