Jaanum teray baghair kab zinda raha hon main
Her pehr her ghadi yahan merta raha hon main
Dukh zindagi ko ghayal kertay rehay meri
Ik kerb-e-musalsal saiy guzerta raha hon main
Jo loog apni jan saiy aziz thhay mujhay
Onn ke wafa ko akser tarusta raha hon main
Bikhray jalay muqaam milay safer-e-hayat main
Daamun ko apnay raakh saiy bherta raha hon main
Teri yad nay bhe likh dee muqader main baykali
Qismat k iss khail pay hunsta raha hon main
Hain aashna yahan meray dardon k qaaflay
Bus inn k dermiyan he chalta raha hon main
Rakhta hon her qadam main ab phoonk phoonk ker
Apnay he saaiy saiy bhe derta raha hon main
Aaj hon main oss jagah jahan manzil nehi shaukat
Ruston saiy baywaja he lardta raha hon main
No comments:
Post a Comment