Ujeray
hovey gulshan main koe phool khila dai
Aiy
dost mere ab tau wafaaoN ka sila dai
Sunnta
tau hoN akser main tere shikvay shikayat
Na
ho jo tassawer mai koe aisa gila dai
Roothi
hoe dharkan hai mera dil bhe hai rootha
Ker
aisa karishma k jo donoN ko mila dai
Sehnay
ko tau seh loN ga mai her sitam bhe tera
Tou
chahay tau haathoN sai mujhe zaher pila dai
Daikhay
tau haiN mai ne bhe kaie khawab suhanay
Be
khof o khater in ke tou taabeer bata dai
Ilzaam
bohat mujh pe muhabbat k haiN baqi
Darbar
e adal ke koe zanjeer hila dai
Sar
ker tau diya khham ab tere hukam e hijer
per
Tanha
mujhe jeenay ka saleeqa bhe sikha dai
Naapa
nehiN shaukat ne kabhi ishq ke hud ko
Hai
tujh ko khaber tau wo tareeqa bhe bata dai
No comments:
Post a Comment