Saturday, 31 August 2019

Nufrat se kiya perda

Nufrat se kiya perda na payar gunah jana
hum khak nasheenoN ne zamaney ko wafa jana
Sagar main jo dobay tau Koch shor sunna hum ne
Jo haath badha aagay bus os ko Khuda jana
Bekhoaf bitani thee bekhoaf bita de hai
Jaltay hovay jeevan ko qudrat ke raza jana
Aatay hovey daikhay hain khud apni taraf nishter
Chubnay se bohat pehlay tazleel e ana jana
Koch ore taraptay tau khho daitay zehan apna
Bus khud he gaey maqtal her shay ko jaza jana
Idraq k pehloo main roshan thay kae rustay
Daikha tau bohat hum nay per onko gumaaN jana
Ik umer bita de thee jaltay hovay sehra main
Phir shajer k saaey ko bus apna makaN jana
Muskaan humari thee ik shaksh k gaaloN per
Bhaiji thee kabhi hum ne ye hum ne kahaN jana

No comments:

Post a Comment