Lagta nehi hay aisa ab wasl-e-yar ho
Kismat meri main onn ka thora sa payar ho
Lumhay jo kut gaeiy onn ke judaie main
Wo daur-e-zindagi ab ghum main shomar ho
Jeenay ke aarzoo ab ore kiya karain
Her aarzoo he jab ghum ke bahar ho
Daiy kr chalay haiN dil ore jaan bhe yahan
Khhafa hum say dosto na husn-e-yar ho
Hasrat rehi humain aisay lumhay bhe hon
Hum dair say aaiyen unhain intezaar ho
Husn-e-wafa kabhi hum say khhafa na ho
Daikhain jab aaina tau aks-e-yar ho
Hon iss tara kabhi gharyaan wisaal ke
Barson ke ho judaie sudyun ka payar ho
Shaukat bhulla bhe daiy sudmay firaaq k
Gar haath main uskay koe ekhhtiyar ho
No comments:
Post a Comment