Friday, 28 December 2018

Shab e gham mai tujhe aankhoN mai laiy kr

Shab e gham mai tujhe aankhoN mai laiy kr
Gilay mai chaand se kerta raha hoN

Monday, 24 December 2018

Hay teray hijer saiy fursat


Hay teray hijer saiy fursat nehi milnay wali
Ab kabhi wasl ke daulat nehi milnay wali

Main nay jana hay haqeeqat ko jannooN main kho ker
Onn saiy thhori se aqeedat nehi milnay wali

Chal kahin dhoond rustay main wafa k moti
Ab kisi sheher main izat nehi milnay wali

Teri wehshat nay kiya dil ka sakoon bhe gharat
Aisi hallat main hay rahat nehi milnay wali

Hay aseeri he ulfat tau banna reh qaidi
Teray ashkon ke bhe qeemat nehi milnay wali

Tou nay daikhay hain khulli aankh saiy kuch khawab zaroor
Dar hay ab niend ke luzzat nehi milnay wali

Aiy khatakar –e-mohabbat  kyun derta hai ab
Tujh ko apni he rafaqat nehi milnay wali

Janay walay nay muqader main teray likha shaukat
Iss gunahgar ko chahat nehi milnay wali
 

Jaanum teray baghair kab


Jaanum teray baghair kab zinda raha hon main
Her pehr her ghadi yahan merta raha hon main

Dukh zindagi ko ghayal kertay rehay meri
Ik kerb-e-musalsal saiy guzerta raha hon main

Jo loog apni jan saiy aziz thhay mujhay
Onn ke wafa ko akser tarusta raha hon main

Bikhray jalay muqaam milay safer-e-hayat main
Daamun ko apnay raakh saiy bherta raha hon main

Teri yad nay bhe likh dee muqader main baykali
Qismat k iss khail pay hunsta raha hon main

Hain aashna yahan meray dardon k qaaflay
Bus inn k dermiyan he chalta raha hon main

Rakhta hon her qadam main ab phoonk phoonk ker
Apnay he saaiy saiy bhe derta raha hon main

Aaj hon main oss jagah jahan manzil nehi shaukat
Ruston saiy baywaja he lardta raha hon main


Monday, 10 December 2018

Ye saal mahinay din shomaar na karna

Ye saal mahinay din shomaar na karna
Bai ja dil-e-muztarib pay waar na karna

Wo keh gaya thha waqt-e-rukhsat ye bhe
Kisi musaafir ka aitebaar na karna

Na mujhay yaad dilana na mujhay yaad aana
Apni berbaad haseraton ka izhaar na karna

Sufer-e-hayaat main apnay leye tum chun laina
Koe bhe gosha-e-makan per intezaar na karna

Dawa-e-dil k leye kaafi thha os ka ye kehna
Apni hasti kee hudon ko paar na karna

Saza k taur pay kaatna ye zindagi apni
Wafa bai mole bhe milay tau payar na karna

Zakhmon ko apnay see laina tanhaiye main baith kar shaukat
Ore iss saee main saal mahinay din shomaar na karna


Saturday, 8 December 2018

Humari zeest ke ghaltiyaan


Humari zeest ke ghaltiyaan shomaar kartay hooway
Wo chal deya dil ko bayqarar  kartay hooway

Wo pardhta waqt ke lardyaan saal maheenay ore din
Humari daastan zamanay pay aashkaar kartay hooway

Kitab-e-dil main likha thha her lumhay ka haal hum nay
Dikhai daita agar usko humain ashkbaar kartay hooway

Rawadari main hum nay thhokeron main khod ko rakha thha
Guzar gaya wo aashiyan masmaar kartay hooway

Wo tau laaya bhe nehi aankhon main dau  ansoo
Hum he roye thhay os say nazar chaar kartay hooway

Ab k mousam-e-gul aaya agar zeest main mairi
Hum bhe daikhain gaiy usay khod pay aitebaar kartay hooway

Saleeb-e-ishq pay latka thha shaukat, wo kahaan thha
Guzaari umer hum nay jis ka intezaar kartay hooway


Saturday, 1 December 2018

Zindagi samait tau loN mgr uljhan ye hai

Zindagi samait tau loN mgr uljhan ye hai
Khaak bhikri hai meray ghar sai os k ghar tak

Saturday, 24 November 2018

Daiy ker tanhyie ke doulat tum ne

Daiy ker tanhyie ke doulat tum ne
Dil e barbaad ko ghar main abad kiya

Saturday, 17 November 2018

Tou zakham-e-judaie ko tammana main mila kar


Tou zakham-e-judaie ko tammana main mila kar
Khod apnay he haaton sai ye zeher piya kar

Takleef main ehsaas-e-mohobat ko dubo kar
Umeed ke kirno’n main tou rooz jiya kar

Daikhay jo teray haal ko apnay main sumo ker
Aisay he kisi shakhs sai tou piyar kiya kar

Jeenay main kehin sokh  ore kehin dard-e-jahan hai
Haaton kee lakeeron ko na dosh diya kar

Jalta hai jism tera agar roog-e-wafa main
Parwanay kee jurrat ko tou yaad kiya kar

Bhikhray howay patton sai nashaimun ko saja kar
Ujaray howay logoon ko abaad kiya kar

Sumjhay jo tera dard koe aisa wali ho
Barbaad dilon main usay dhoondh liya kar

Wo kaun hai shaukat jo mubera hai dokhon sai
Aflaas ke basti main zara jhaank liya kar

Sunday, 11 November 2018

Bikhra hai raat din meri zaat ka wajood

Bikhra hai raat din meri zaat ka wajood
Soya nehi sakooN sai kisi bhe roz maiN

Sunday, 4 November 2018

Aankh purnum bhe nehi dil praishan bhe nehi


Aankh purnum bhe nehi dil praishan bhe nehi
Oss saiy milnay k leye koe saaman bhe nehi

Dil main rehta hay koe saans laita hay koe
Naam dainay k leye koe unwaan bhe nehi

Mera rahber bhe nehi mera qaatil bhe nehi
Itna mehnga bhe nehi itna arzaan bhe nehi

Abhi rakha hay qadam oss nay dunya main meri
Karon sujda main usay aisa eeman bhe nehi

Saath rakhon main usay apnay saaiy ke tarah
Itna mushkil bhe nehi itna asaan bhe nehi

Dooor main ja na sakon paas aanay bhe na doon
Mera apna bhe nehi koe mehman bhe nehi

Janay kis simat saiy wo shamil-e-sooch howa
Paas busti bhe nehi koe aastan bhe nehi

Ye chhupa dard kehin jaan lay lay na kehin
Iss khari baat saiy ab shaukat anjan bhe nahi


Wednesday, 31 October 2018

Hum mohabbat main hovay berbad werna

Hum mohabbat main hovay berbad werna

Admi hum bhe bohat kaam k thhay





Na khayaloN maiN rehay na he khawaboN main rehay

Na khayaloN maiN rehay na he khawaboN main rehay
Loog hum jaisay kahaN ab teri yaadoN main rehay

Sunday, 21 October 2018

Bari hikmat se qudrat ne sujaya hai tujhey janaaN

Bari hikmat se qudrat ne sujaya hai tujhey janaaN
Munasif qad, qamer patli, shafaq Chahra ghazal aankhaiN

Kadvi meethi bataiN ker k baat manwani padti hai


Kadvi meethi bataiN ker k baat manwani padti hai
Apnay ghar k logon ko bhe baat sumjhani padti hai

Mal o zar k bal botay pr koe hukam chalata hai
Ore kisi k armanoN ko aag lagani padti hai

Pyar bharay Koch naghmay ga ker loog bichard bhe jatay haiN
Yad main on ki sudyun hum ko shama jalani padti hai

Qader baday bhe kho daitay hain samnay apnay buchoN k
Izat ghairat ke khatir phir jaan gunvani padti hai

Such ye hai jab lahja onn ka kaat ker rakh daita hai
Huns ker sari khiffat shaukat hum ko mitani padti hai


Tuesday, 16 October 2018

Aik cheez hai mohabbat jo raat raat bher

Aik cheez hai mohabbat jo raat raat bher
Daiti hai pehra aankh pe derbaan ki tarah

Friday, 5 October 2018

Kabhi rahat-e-dil kabhi aisay khafa bhe na hoe


Kabhi rahat-e-dil kabhi aisay khafa bhe na hoe
Ore teri yaad kabhi dil saiy juda bhe na hoe

Tujh ko jitna bhe bhulaya tou bohat yaad aya
Mujrim bhe teray thhehray ore saza bhe na hoe

Hum ko alaam ke busti saiy nehi hay shikwa
Ghum tau ye hay humain taskeen zara bhe na hoe

Ghum k aangan main mohabbat ko chardha ker perwan
Daiy diya naam-e-wafa ore wafa bhe na hoe

Mer gaiey ishq sumandar main uternay walay
Onn ke manzoor koe aik dua bhe na hoe

Hain zamanay main khata kar mohabbat k bohat
Teri jaanib saiy tau aik khata bhe na hoe

Raha shamil wo teri sooch main her dum shaukat
Lub bhe khamosh rehay aah-o-fughan bhe na hoe



Thursday, 27 September 2018

Shaukat shafeeq haath nae aisay qatal kiya

Shaukat shafeeq haath nae aisay qatal kiya
Lehja budal liya kabhi chahrah budal liya

Friday, 7 September 2018

Tum jisay behisab chahtay ho


Tum jisay behisab chahtay ho
Mil ker ab kiya janab chahtay ho

Jubtay rehtay ho naam tum jis ka
Os sai kitna sawab chahtay ho

Ishq bhe be sumer nehi hota
Husn bhe la jawab chahtay ho

Zeher peetay ho lai k haathoN main
Jaam main kyun sharab chahtay ho

Aaj kal khoey khoey rehtay ho
Konsa ab azaab chahtay ho

Phool he phool hain chammon mai yahaN
Sab sai nazuk gulaab chahtay ho

Qader apni ghhata le hai tum ne
Daam oonchay janab chahtay ho

Waqt ik sa sada nehi rehta
Waqt muthi main aap chahtay ho

Saamnay mil nehi saka shaukat
Khawab main ab jawab chahtay ho


Thursday, 6 September 2018

NadaaN thay bekhabar thay koch sakoN tau tha

NadaaN thay bekhabar thay koch sakoN tau tha
MushkilaiN bardh gaieN oar aagahi k baad

Thursday, 23 August 2018

Na pooch hal e dil k donoN k haath maiN

Na pooch hal e dil k donoN k haath maiN
Na hijer o wasal hai na saansoN k door hai

Wednesday, 8 August 2018

Dil main halchal hoe jis naam sai teray shaukat

Dil main hulchal hoe jis naam sai teray shaukat
Hae wohi ishaq e Khuda Ishaq majaazi tera

Friday, 27 July 2018

Sumjha he jo nehiN zabaN meri

Sumjha he jo nehiN zabaN meri
KahaN hai chah ab yahaN meri

Chala jo saath her qadam meray
Wohi sumjha nehi fughaN meri

Silsila pyar ka rukka bhe nehi
Os pe her baat thee ayaaN meri

Nazuk itni k phool chhoo ker bhe
Ahh bharti thee jan e jaaN meri

Jholi bhar laitay pyar se apni
Itni oqaat thee kahaN meri

Shughal sumjha meri mohabbat ko
Bunti os sai kahaN kahaN meri

Tazkera zof e hal kiya kertay
Kon sunta tha kab kahaN meri

Rah chuntay jo apni hum shaukat
Khaak udti yahaN wahaN meri

Wednesday, 18 July 2018

Kabhi qurbat k lumhon main thhikana bhool jatay hain



Kabhi qurbat k lumhon main thhikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasana bhool jatay hain

Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain

Chhupa kar baithh jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain

Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othhana bhool jatay hain

Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain

Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam kar k wafa’on ka zamana bhool jatay hain

Tumhari aarzo main hum hoovay roswa zamanay main
Ye marg-e-jan say pehlay batana bhool jatay hain

Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke hallat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain


Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy


Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy
Tujhay yaad ayee bhe tau jab meray sapnay saaray bikhar gaiaiy

Teri bandagi k hasool main, main kahan kahan say guzar gaya
Mila mujh ko koe na aashiyan mairay din andhairon sai bhar gaiaiy

Na he raaston ke khaber mili na he manzilon ka pata mila
Meri zindagi k wo char din issi jostujo main guzar gaiaiy

Koe pal sahara na daiy saka teri yaad say nijaat ka
Sobho sham rehay yehi mashghalay saaray ashk bai-asar gaiaiy

Tera dil jo bayqarar tha kabhi mujh pay dil-o-jaan say
Teray roothhnay say o sanum meray dil main khhanjar utar gaiaiy

Koe fiker laahuq na thhe humain kabhi apnay ranj-o-malal ke
Meray kal ore aaj k saaray dokh gham-e-hijran main badal gaiaiy

Kab hum nay jujh say gila kya kabhi apnay dard-e-baihaal ka
Baray hoslay ke ye baat thhe inhe hoslon main hum mar gaiaiy

Dil-e-natawan ke ye kaifiat, shaukat aag bun kar sama gaei
Janay kitnay mousam issi tara meray saahilon say guzar gaiaiy


Khaber nehiN zinda hoN ya mer gya hoN maiN

Khaber nehiN zinda hoN ya mer gya hoN maiN
Raha hoN doob kr tair dooor sagar maiN

Friday, 13 July 2018

Dooor sai pas ik shakhs ata gya



Dooor sai pas ik shakhs ata gya

Daikh kr main usay muskurata gaya

Wo mujhe daikhta main usay daikhta
Bas yunhi zindagi ko chalata gya

Daikh ker os ke ankhoN ke jadogri
Dil mera khud ba khud gungunata gya

Raaz main reh gya Koch tau mazi mera
Hal ka hal main tau sonata gya

Likh raha tha waraq der waraq main usay
Lufz her ik wo mera mittata gya

Koch na hasil hova zindagi katt gaie
Main usay wo mujhe bas rulata raha

Waqt ruk sa gya jab wo rukhsat hova
Main osi mord ko ghar banata gaya

Poochtay Koch rahay loog shaukat magar
Main idhar ke udher ke sonata gya

Monday, 4 June 2018

Meray naqsh kee badaulat mujhay shadman na sumjho

Meray naqsh  kee  badaulat  mujhay  shadman na sumjho
Meri  khosh  khaslatti  ko  meri  daastan na samjho

Koe  ghum  nahi  jo  thehro  mairay  saaye main zara  dair
Main  shajer  hoon  raastay ka mujhey  aashiyan na sumjho

Main  yehan  bhuttak  raha hoon ghum-e- zindagi othaaye
Main  chamon main ajnabi hoon mujhey baaghban na sumjho

Koch  bhooli  busree  yaadain  meri  zaat  main daffun hain
Main  shaayer-e-sokhun  hoon  mujhey raazdan na sumjho

Rahein dooor tak sitaray meray saat saat chaltey
Main shamil-e-suffer hoon mujhay karwan na sumjho

Abhi koch hay dair baaqi meri zindagi kee hud main
Main naa tawan hoon laikin mujhay bayzaban na sumjho

Kal tak rahay jo shaamil teri zindagi main shaukat
Kehtay hain hum ko apnay ab darmiyan na sumjho



Aik aurat thee meri maaN ke shakal maiN shaukat

Aik aurat thee meri maaN ke shakal maiN shaukat
Ja baja jis ne sumbhala hai mujhe girnay sai

Sunday, 3 June 2018

khoshi main dard k lumhay talash kerta hon



Khoshi  main  dard  k  lamhay  talash  karta  hon
Apnay  wajood  k  tukray  talash  karta  hon

Main  apni  zeest  ke  un ginnat  takleefon  main
Apnay  leye  sudmay   talash  karta  hon

Hay  aziyiat  nahi  shaamil  meri  fitrat  main
Tujh  say  milnay  k  rastay  talash  karta  hon

Jo bas gaya hay  meray  dil  ke  gahraiyon  main
Oss  ko  paanay  k  harbay  talash  karta  hon

Naamay  mohabat  k  jo  jala  deiye  thhay  kabhi
Main  onn  khatoot  k  purzay  talash  karta  hon

Raat  bhar  jaag  kar  aasmaan  ore  sitaaron  main
Tootay  howay  taaray  talash  karta  hon

Bhatakta  rehta hon  aalim-e-dargoor  main  bhe
Bikhray  howay   kutbay  talash  karta  hon

Main  dhaamp   kar  dil  ke  kaifiat  shaukat
Her  jaga  apnay  payaray  talash  karta  hon


Wednesday, 30 May 2018

Hum bun janey sai tou ore maiN

Hum bun janey sai tou ore maiN
Kyun budaltay nehi matlab apnay

Tuesday, 22 May 2018

Wo aankh jo pardh sakti thee meray khawab

Wo aankh jo pardh sakti thee meray khawab
Muddat sai bund hai khulnay tau de jieyee

Wednesday, 16 May 2018

Soorat sai na seerat sai na phir sirf baatoN sai

Soorat sai na seerat sai na phir sirf baatoN sai
Mohabbat jis tarah bhe ho mohabbat tau mohabbat hai

Sunday, 6 May 2018

Gumshuda niendoN ko laiker shaukat

Gumshuda niendoN ko laiker shaukat
Khawab daikhaiN tau kis tarah daikhein

Saturday, 5 May 2018

NadaaN thay bekhaber thay koch sakooN tau tha

NadaaN thay bekhaber thay koch sakooN tau tha
Mushkilain bardh gaieN ore aagahi k baad

Tuesday, 17 April 2018

Hr simt sai aati hai mujhay khushbo e wisal

Hr simt sai aati hai mujhay khushbo e wisal
Phir kyun ho aaj ojhal hisaar e nazer sai tum

Monday, 16 April 2018

Mujhe ehsaad teri chah e mohabbat ka hai saher

Mujhe ehsaas teri chah e mohabbat ka hai saher
Magar derpaish andhairoN ke masaffat hai mujhe

Thursday, 12 April 2018

Teray fraib sai aashna thay phir bhe hum

Teray fraib sai aashna thay phir bhe hum
Khaloos e dil sai tera aitebar kertay rehay

Monday, 9 April 2018

Tujhay dhoonda tujhay chaha tujhay khonay na diya


Tujhay dhoonda tujhay chaha tujhay khonay na diya
Iss tara dil ko pashaiman kabhi honay na diya

Bar ha manzillain aaiyien jahan paich-o-kham thhay
Neind main doobti aankhon ko sonay na diya

Tujh ko rakha smait kar apnay seenay main
Ghaafil teri yaad sai dil honay na diya

Furqat-e-yar tujhay aisaiy bhe chaha hum nay
Khod tarapta raha magar aankh ko ronay na diya

Raasta bhool gaiay laut k aanay walay
Bund hum nay dareechay ko magar honay na diya

Jab sai rakha sehra-e-mohabat mai qadam
Apna yaqeen teri zaat say khonay na diya

Thha bhrosa humain azm-e-wafa per teri
Kehin badnaam tera naam honay na diya

Tum tau jeetay he rehay umeed-e-wasl main shaukat
Daagh-e-dil tum nay kisi ore ko dhonay na diya


Friday, 16 March 2018

Kabhi qurbat k lumhon main

Kabhi qurbat k lumhon main thhikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasana bhool jatay hain

Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain

Chhupa kar baithh jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain

Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othhana bhool jatay hain

Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain

Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam kar k wafa’on ka zamana bhool jatay hain

Tumhari aarzo main hum hoovay roswa zamanay main
Ye marg-e-jan say pehlay batana bhool jatay hain

Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke hallat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain