Humari zeest ke ghaltiyaan shomaar kartay hooway
Wo chal deya dil ko bayqarar kartay hooway
Wo pardhta waqt ke lardyaan saal maheenay ore din
Humari daastan zamanay pay aashkaar kartay hooway
Kitab-e-dil main likha thha her lumhay ka haal hum nay
Dikhai daita agar usko humain ashkbaar kartay hooway
Rawadari main hum nay thhokeron main khod ko rakha thha
Guzar gaya wo aashiyan masmaar kartay hooway
Wo tau laaya bhe nehi aankhon main dau ansoo
Hum he roye thhay os say nazar chaar kartay hooway
Ab k mousam-e-gul aaya agar zeest main mairi
Hum bhe daikhain gaiy usay khod pay aitebaar kartay hooway
Saleeb-e-ishq pay latka thha shaukat, wo kahaan thha
Guzaari umer hum nay jis ka intezaar kartay hooway
No comments:
Post a Comment