Saturday, 29 July 2017

Aiy dost tou milney sai graizan na hova ker

Aiy dost tou milney sai graizan na hova ker
Runjeeda hai dil tera tau mujhe roz mila ker

Thhak tou bhe chukka hai ab zamaney k fasooN sai
Girnay lagaiy jab bhe tau mujhey thhaam liya ker

MaiN dukh nehi daita,  garchay zaat sai apni
Phir bhe koe shaq ho tau mujhey moaf kiya ker

Khoo jata hai saya bhi iss bheed main ab tau
Tou dhoop main  soruj ke jaanib na chala ker

Her doar main insaaN nae kahaN saath diya hai
Tasleem haqeeqat ko tou khush ho k kiya ker

Daita hon main paigham jo shair o sukhan main
LafzooN ke banawat pe zara ghor kiya ker

Mana k jeeven ke kathan rah hai shaukat

Phir bhe kabhi taqdeer sai shikva na kiya ker

Tuesday, 25 July 2017

MUKAMMAL THA MAI HER IK ZAVIYE SAI

MUKAMMAL THA MAI HER IK ZAVIYE SAI
KAMMI THEE TAU SIRF IK TOU NEHI THA

Monday, 24 July 2017

Ab tau tasveer e mohabbat meri taqdeer maiN aa



Ab tau tasveer e mohabbat meri taqdeer maiN aa
Meri aashufta tanhyie ke jageer maiN aa

Parda bikhra he rehnay daiy meray khawboN ko
Tujh ko aana hai tau suj dhuj k taabeer maiN aa

Isi hasrat maiN jawaan rakha mohabbat tujh ko
Tou ghazal bun k meray ashaar ke tehreer maiN aa

Tou bharoosa hai mera ye tau khabar hai laikin
Meri husti sai jurdi payar ke zanjeer maiN aa

Iss tara mujh main samaa ja k zamana daikhay
Tou jahan bhe ho nazer meri tasveer maiN aa

Sahil e zeest saiy bhaija hai sandaisha main nay
Aa meray shoq e ibadat meri taskheer maiN aa

Meray aangan mai mehak phaili hai zakhmoN ke magar
Laiy k aflaak ke khushboo apni taaseer maiN aa

Kiya massraf hai teray raqs e janooN ka shaukat
Na balad aqal o khirud ab kisi tadbeer maiN aa

Thursday, 20 July 2017

WAQT NE KER DIYA AAGAHI SAI MEHROOM MUJHE

WAQT NE KER DIYA AAGAHI SAI MEHROOM MUJHE
KOE TAU YAAD DILAYE K MAIN ZINDA HON

Wednesday, 19 July 2017

Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy


Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy
Tujhay yaad ayee bhe tau jab meray sapnay saaray bikhar gaiaiy

Teri bandagi k hasool main, main kahan kahan say guzar gaya
Mila mujh ko koe na aashiyan mairay din andhairon sai bhar gaiaiy

Na he raaston ke khaber mili na he manzilon ka pata mila
Meri zindagi k wo char din issi jostujo main guzar gaiaiy

Koe pal sahara na daiy saka teri yaad say nijaat ka
Sobho sham rehay yehi mashghalay saaray ashk bai-asar gaiaiy

Tera dil jo bayqarar tha kabhi mujh pay dil-o-jaan say
Teray roothhnay say o sanum meray dil main khhanjar utar gaiaiy

Koe fiker laahuq na thhe humain kabhi apnay ranj-o-malal ke
Meray kal ore aaj k saaray dokh gham-e-hijran main badal gaiaiy

Kab hum nay jujh say gila kya kabhi apnay dard-e-baihaal ka
Baray hoslay ke ye baat thhe inhe hoslon main hum mar gaiaiy

Dil-e-natawan ke ye kaifiat, shaukat aag bun kar sama gaei
Janay kitnay mousam issi tara meray saahilon say guzar gaiaiy

Saturday, 15 July 2017

Aiy merey dost mujhe khud sai mukhatib kerna


Jab meri aankh sai girnay lagaiN gham k aansoo

Ore chha jaey udasi ki ghata chahray pe

Tab meri saansoN ke hifazat kerna

Aiy merey dost mujhe khud sai mukhatib kerna

 

Jab saraboN sai koe awaz pukaray mujh ko

Ore nazer anay lagaiN sehrah mai sitaray mujh ko

Tab meri saansoN ke hifazat kerna

Aiy merey dost mujhe khud sai mukhatib kerna

 

Jab merey jism ko saakit sa parda tum daikho

Bund aankhoN sai ansoo ko nikalta tum daikho

Tab meri saansoN ke hifazat kerna

Aiy merey dost mujhe khud sai mukhatib kerna

 

Jab mehsoos karo mujh pe naza ka hai moqaam

Loog pardhnay lagaiN aazadi e rooh k kalaam

Tab meri saansoN ke hifazat kerna

Aiy merey dost mujhe khud sai mukhatib kerna

Thursday, 13 July 2017

Jagaaya niend sai jub bhe jamal-e-yar nai hum ko

Jagaaya niend sai jub bhe jamal-e-yar nai hum ko
Rulaaya sehar honay tak firaq-e-yar nai hum ko

Kabhi jo bermala poocha tumhara hal kaisa hai
Tazubzub mai leye rakha sawal-e-yar nai hum ko

Kisi k aks main soorat kabhi onn ke nazar aaie
Dikhaaya iss tarah jalwa kamal-e-yar nai hum ko

Kabhi talkhi kabhi nermi kabhi purnum se nazron sai
Sunaaya hal-e-dil apna mizaj-e-yar nai hum ko

Bazahir hijer honay sai mohobbat mer nehi jati
Bataaya aa k aankhon main wisal-e-yar nai hum ko

Gila wada nibhanay ka bhala hum kis tarah kartay
Koe lumha nehi bukhsha hijab-e-yar nai hum ko

Tamana hum nay he ke thhee qafas main bund rehnay ke
Sunaaie qaid umer bhar ke jalal-e-yar nai hum ko

Sajaaie tum nay jab mehfil tanhyie main koe shaukat
Mukhatib kar leya khud sai nigah-e-yar nai hum ko



Ja baja tera tasawer iss qadr tadpaie ga

Ja baja tera tasawer iss qadr tadpaie ga
Chain say jeenay na daiga aansowon ko laaye ga

Hijr k taptay sehrah main aik pal ka chain bhe
Zindagi k raaston ka roog banta jaaye ga

Koch nehi haasil kya aiy dil lagi teray siwa
Iss chobhan main dil mera her pal sulagta jaaye ga

Kaash hum bhe rok suktay dard k toofan ko
Kya mazahemat ab karain ye ore badhta jaaye ga

Chhaid na ab aa k tou aiy ishq meri jaan ko
Teri garmi say budan mera pighalta jaaye ga

Rakh diya hay hum nay khud ko aandhiyon k haat per
Sung hawa k baadalon main khud he orta jaaye ga

Main adhora hon teray bin aaj gar keh do’n tujhay
Gom som khhada reh jaaye ga ya chhop k roota jaaye ga

Shaukat  pighalta he raha tou  garme-e-ikhlaas say

Dooor reh kar bhe tou uskay naam say jalta jaaye ga

Sunday, 2 July 2017

RAKH KER KEHIN BHOOL GAEY HER KHUSHI APNI

RAKH KER KEHIN BHOOL GAEY HER KHUSHI APNI
AB TALAK NARAZ HAI MUJH SAI MERI TASVEER

HAY DASTOOR E WAFA YE K DOOOR JANEY SAI

HAY DASTOOR E WAFA YE K DOOOR JANEY SAI
FAASLAY BARDH JATEY HAIN ORE MOHABAT BHE