Thursday, 31 December 2015

BADALNEY KO HAI YE SAAL

BADALNEY KO HAI YE SAAL

Badalney ko hai ye saal ik bar phir
Hai umeed e wasl e yar ik bar phir

Kyun aisa hr saal mujh ko lgta hai
Mil jayein gaiy is bar ik bar phir

Yunhi shab o roz meray kat tay hain
Aatay jatay hain azaar ik bar phir

Keh tau laita hon main hal lufzoN main
Tishna rehta hai deedar ik bar phir

Mayoos December ko main bhula kr aakhir
Shroo krta hon intezaar ik bar phir

Wo kahan shaukat, fiker teri krta hai

Tou he hota hai sharamsar ik bar phir

Jataiy jataiy ye december phir khalish ik daiy gya


Ashna ker k december k sard moasum sai


December main na krna yad bus itni guzarish hai


Monday, 28 December 2015

Waqat aisa bhe kabhi tum nay guzara shaukat

WAQAT AISA BHE KABHI

Waqat aisa bhe kabhi tum nay guzara shaukat
Jab laga ho wo hai ab bhe tumhara shaukat

Tum tau krtay ho humaisha sai he charcha oska
Dil sai oss nay bhe kabhi tum ko pukara shaukat

Ghar sai nikla tau kabhi loat k aya na wo
Kiya sahara tha koe ore tumhara shaukat

Tum tau baithay rehay umeed ki doori thamay
Milna osnay na kiya tum saiy gawara shaukat

Her lumha baich diya tum nae shakooN ka apna
Kiya mila laiy k sumander sai kinara shaukat

Teri qismat ka tau charcha tha zamanay main bohat

Kiya khaber thee k tou kismat ka hai mara shaukat

hr dil mai zinda hai tumhari ................

ہر دل میں زندہ ہے تمہاری شبیہ یہاں
ہر پھول کی خوشبو میں تمہاری مہک ہے

Monday, 14 December 2015

KABHI MOJ E GHAM NAE

KABHI MOJ E GHAM NAE …

Kabhi moj e gham nae ghaira nehi tha
Khuda ke qasam jab mai tera nehi tha

Kabhi zindagi itni bekhawb na thee
Dil pe jab yadoN ka pehra nehi tha

Mukhalif hawayein bhe daiti thein ghhao
Mgr zakham koe itna gahra nehi tha

Rehti thein roshan baidar aankhaiN
Koe sooch o shar ka bakhairda nehi tha

Main sumjha nehi tha falsafa e mohabbat
K jab tak mohabbat ko chaida nehi tha

Soocha tau krta tha main ishq tujh ko
Mgr samnay koe chehra nehi tha

Jab daikha tha aiy husn teri saadgi ko
JahaN main koe sani tera nehi tha


Ruch tou gya tha rugoN main koch aisay
Laho bhe laga jaisay mera nehi tha

Teray dil main jhanka tau shaukat nai jana

Tou ghairoN ka tha per mera nehi tha

Sunday, 6 December 2015

Ishq ore mohabbat main faraq hai tau sirf itna

Poochnay hal wo bhe aya tha


Ye kahaN ke dosti hai

YE KAHAN KE DOSTI HAI …….

Ye kahaN ke dosti hai ye kahan ke hae mohabbat
Main jab bhe tujh ko soochoN mjhay kat ti hae wehshat

Tera sath kiya chhutta hai haan badal gae hai duniya
Tujhay ilm hai zara bhe meray rat din ke hallat

Han yad haiN mujhay wo teri jheel jaisi aankhaiN
Mili jin main doob kr, mjhay zindagi ke rahat

Teri chahatoN ka markaz koe ore tha shehar main
Main isi main khush raha k tou hai meri mohabbat

Seekha kahan sai tou nae daina dagha wafa main
Tujhay janta hon tab sai  jab the nehi tou aurat

Bus main nehi tha meray tujh sai juda rehna
Na he tha ye gawara tou kray kisi ke chahat

Badlay zamana sara  na badal sakay ga shaukat

Mjhey kal bhe thee mohabbat hai aaj bhe mohabbat

Saturday, 14 November 2015

hijr guzer jaey tau khul jayen ye aankhain

hijr guzer jaey tau khul jayen ye aankhain
bs youm e wasl tak tou mujhe niend ata kr

KIS LEYE MAIN TUJH SAIY

KIS LEYE MAIN TUJH SAIY ……..

Kis leye main tujh saiy mulaqaat ab karon
Kis dard ko apnay leye soghaat ab karon

Jo koch mera naseeb thha wo mil gaya mujhay
Kis kaam main aik din raat ab karon

Tou nay he giraie thhee dewar payar ke
Kis tarah blund teray derjaat ab karon

Aa daikh meri halat main kiya saiy kiya howa
Kis hoslay saiy bus main halaat ab karon

Beh raha hon un daikhi manzilon k ore
Kis dil saiy apni keshti gharqaab ab karon

Jo kaam terey bus main thha wo tou nay ker diya
Kis kaam saiy main apni shroo’at ab karon

Hasil nehi mujh ko kisi per bhe dustaras
Kis kis saiy kis ke baat ka hisaab ab karon

Jal bujh rehay hain shaukat tamana’oN k deye

Kis deye ke lo ko mehtaab ab karon

Sunday, 1 November 2015

Main rait pe likha hova ik naam he tau tha

Main rait pe likha hova ik naam he tau tha
Hova tez thee jo dil sai teray pal main mit gya

WO AIK SAYA JO SATH MERE KABHI CHALA NA

WO AIK SAYA JO SATH ……

Wo aik saya jo sath meray kabhi chala na, wo kho gaya na
Tareek rah mai jo bun k jugnoo kabhi jala na , wo kho gya na

Mehak rachi thee fiza mai jis ki hava mai sargoshiyaN theiN shamil
Wo phool bun k meray chammon main kabhi khila na, wo kho gya na

Sunna tha rustoN mai chalnay wala her aik hota nehi musafir
Thhehar k oss nai sufer dobara shroo kiya na, wo kho gya na

Swal koe wafa nehi tha sakoon daita thha oss ka hona
Meray sakooN ko ja k oss nai fanna kiya na, wo kho gya na

Sitam zareefi nehi thha shaiva laga mjhey Koch iss tarah he
Mgr jo haq e wafa tha mera hova ada na, wo kho gya na

Charagh laiker andhairi raatoN mai dhoondta hon nishan oss k
Mgr kabhi bhe kehin bhe oska pata mila na, wo kho gya na

Kabhi na chaha kabhi na soocha k hijer rah e wafa milay ga
Yaqeen e kamil ko osnay meray dagha diya na, wo kho gya na

Dua’yeN milti rehien hain shaukat hazar barsoN ke zindagi ko

Taweel jeevan ko ja k oss nae ghatta diyana, wo kho gya na

Monday, 19 October 2015

TumhaiN mili nehi fursat ghairoN sai


Samna raha ghumoN sai hr merhalay pe mera


Saturday, 3 October 2015

NA KABHI GULOON SAI BAIR THA NA KABHI CHAMMON SAI DUSHMANI


DIL ZARA NAADIM HOVA TAU KIYA HOVA

DIL ZARA NAADIM HOVA ……

Dil zara naadim hova tau kiya hova
Ashaq chehray pe gira tau kiya hova

Viraan ab tak zindagi ke pehar main
Na hova mera koe tau kiya hova

Ulfatain bikti hain ab tau hr taraf
Bik gaya koe  agr tau kiya hova

Jeet kr bhe haar jata hai koe
Haar kr gar jeet gya tau kiya hova

dharkanaiN sunta raha meri koe
os nai ja kr Koch kaha tau kiya hova

koe milta hai badi he chah sai
ho gya dushmun koe tau kiya hova

hr taraf maatam kunaN hai zindagi
koe huns kr mar gya tau kiya hova

mushkilaiN shaukat nehiN haiN isqadar

gar tujhay aisa laga tau kiya hova

Thursday, 17 September 2015

Bananay walay nai husn daiy k loogoN ko


Thursday, 10 September 2015

ISS QADAR TUJH PE BHAROSA KYUN KIYA THA MAIN NAE

ISS QADAR TUJH PE BHAROSA ………..

Iss qadar tujh pe bharosa kyun kiya tha main nae
Apnay haathoN sai he kyun zehar piya tha main nae

Tum bhe onn he ke tarah meray he qatil niklay
Jin ka jeevun main kabhi saath diya tha main nae

Hr taraf payar k naam pe hai dhooka phir bhe
Teri batoN ko wafa maan liya tha main nae

Wo bhe kertay rehay taza meray zakhmoN ko aaj
Jin ko girtay hovay kal thaam liya tha main nae

Jis din rakha tha tassavar main sajja ker tum ko
Ik sitam jaaN k liye paal liya tha main nae

Keh ker apna jo meray seenay main khanjer ghompa
Aisa kiya tum pe kabhi war kiya tha main nae

Teri khushiyun k liye khud bhe bikka hai shaukat

Kyun k ALLAH sai tujhay maang liya tha main nae

Saturday, 29 August 2015

Jisay aap mohabbat kehtay ho kab dil nai usay taleem kiya


Iqrar karo werna mai khud ko saza doN ga


Ik gham e rozgar jo roz stata hai mujhe


Sunday, 16 August 2015

Kabhi qurbat k lumhon main thhikana bhool jatay hain

ZAMANA BHOOL JATAY HAIN


Kabhi qurbat k lumhon main thhikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasana bhool jatay hain

Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain

Chhupa kar baithh jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain

Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othhana bhool jatay hain

Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain

Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam kar k wafa’on ka zamana bhool jatay hain

Tumhari aarzo main hum hoovay roswa zamanay main
Ye marg-e-jan say pehlay batana bhool jatay hain

Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke hallat ko


Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain

Wednesday, 12 August 2015

Badla hai meri zaat maiN tere roothnay k baad


Sunday, 2 August 2015

jab ubrta hai qartas pe


seenay pe hath rakh do zra


Friday, 24 July 2015

MERAY SHAIRON MAIN JO DARD KE BAAT HOTI HAI

MERAY SHAIRON MAIN JO …..

Meray shairoN main jo dard ke baat hoti hai
Bohat iss sai praishaN khud meri zaat hoti hai

Main jo bunta hoN kabhi yadoN k taanay baanay
Meri aankhoN main bhe ashkoN ke barat hoti hai

Loog sumajhtay hain maiN shayer hon tau kaam hai likhna
Wo kiya janaiN zameen e sukhun kaisay sairaab hoti hai

Jab ubherta hai takhiyul mera lufz bun bun ker
Roh khala’oN main meri mehv e perwaz hoti hai

Dhoondta hon main raatoN main bhe lufzoN k gohar
Jab kehiN ja k ghazal sabzo shadaab hoti hai

Shayed ker nehi skta zabaN sai main Mun ker izhar
Meri shayeri he meray dil ke kitaab hoti hai

Jin sai kerta hon gilay shikway main apnay akser
JahaN sai door kehiN onn sai mulaqaat hoti hai

Main mussawar tau nehi k tasveer bana loon shaukat

Meri tehreer he meray fun ke shanakhat  hoti hai

Monday, 20 July 2015

wo eid jis ke chah mai


Monday, 6 July 2015

Sabbub loat k janay ka yahi tau hai..


Wednesday, 1 July 2015

MAANA MAIN TERAY PYAR KE

MAANA MAIN TERAY PYAR KE …….

Maana main teray pyar ke jagah tau nehi
Sumajh k ghair nazar sai mugar gira tau nehi

Chala hon sath teray shayed main bin ta’aluq k
Wohi hon main koe ab dosra tau nehi

Main ajnabi he sehi phir bhe humsafer tha tera
Deewar beech main koe tou ab utha tau nehi

Teri zabaN sai  jo niklay wohi tau afzal hai
Meri khamosh nigahoN ka gham bhula tau nehi

Pehchan ab nehi koe teri nigahoN main
Meray wajood ko yun khaak main mila tau nehi

Guzer he jaey ga waqt tera ore mera bhe
Bila wajah tau mohabbat ko aazma tau nehi

Main teray baad ulfat ke paas dari main
Muqam e ijz o akhhowat sai kabhi gira tau nehi

Morrawat main gunwaya hai shaukat nae bohat Koch

Tou isay dahar k rustoN main gunwa tau nehi

Thursday, 25 June 2015

kyun rustay badalnay ke ....

kyun rustay badalnay ke zarorat humaiN parti
jis rah pe chalna tha muqadar main likha laye

Tuesday, 23 June 2015

قدموں تلے زمیں رہی نا سر پہ اسماں





















Wednesday, 3 June 2015

Dukhi dil ke nigahoN sai tujhay maiN dooor khhara daikhoN

SUFAR MAIN IK NAYA DAIKHON

Dukhi dil ke nigahon sai tujay main dooor khhara daikhon
Kisi konay main khud ko main bohat majboor para daikhon

Meray wajdaan k ander bupa hai kashmakash itni
Kabhi tujh ko yahan daikhon kabhi tujh ko wahan daikhon

Zara tau kuch tawazan ho meray deeda-o-dil main bhe
Kabhi main kaanch k tookray ko sonay main jara daikhon

Lufzon ke koe qeemat nehi hoti kiya duniya main
Main her ik baat k peechay naya toofan khhara daikhon

Teray qubzay main rehti thhe mohabbat jo wafa bun kar
Main teri iss khoobi ko tujhi sai ab juda daikhon

Sufar qadmon ka nazron ka doanon main masafat hai
Tujhay dhoondon tujhay paaon kahan tak main sada daikhon

Kahan munsoob hota hay koe aisay musafir sai
K jis ke gardish-e-paa ko main mutti sai atta daikhon

Tamuna hai koe tilsum ab aisa ho ayaan shaukat

Sobha jub niend sai jaagon sufar main ik naya daikhon

Monday, 25 May 2015

tumharay pyar main mitnay ke dil main ab tamunna hai


Friday, 22 May 2015

Hum nai apnay he khayalaat ko zehmat kiya dee

Hum nay apnay he khayalaat ko zehmat kiya dee
Dil nay poocha tujhay oss nay mohabbat kiya dee

Dil dukhha ker jo anjan bana phirta hay
Pooch oss saiy usay shehar nay izat kiya dee

Qatal kerta hay nigahon saiy baray payar k saath
Qudrat nay usay husan ke neamat kiya dee

Hum tau jaltay he rehay sham-o-sehar ulfat main
Zindagi tou nay humain ishq ke jureat kiya dee

Itna tadpay k deewaron nay sumbhala hum ko
Iss dil nay humain aik mohabbat  kiya dee

Gham-e-ulfat gham-e-zeest moatber tehray
Katib nay meri jaan ko qismat kiya dee

Jab lahoo choos leya tamanaon nay sara shaukat

Hum nay Jana yahan ishq ke qeemat kiya dee


Thursday, 21 May 2015

JAB TERI YAD SAIY HUM DIL KO

JAB TERI YAD SAIY HUM DIL KO …….

Jab teri yad saiy hum dil ko behlanay niklay
Kitnay ashq iss aankh saiy na janay niklay

Han tasawur main tujhay pa tau leya thha hum nay
Per haqeeqat main sub khawb suhanay niklay

Kitnay nadaaN thhay k khud pay bharoosa ker k
Dooor duniya teray ghar saiy basanay niklay

Apnay daamun main sumait kr wafa k mooti
Dashat o derya main khud he bahanay niklay

Zameen e dil ko jab bhe khangala hum nay
Sooch saiy zada sub zakham puranay niklay

Hum nay apnon saiy lagaie thhee wafa ke umeed
DardmandoN main subhi loog baiganay niklay

Taaron nay saja rakhi thhee tanhiye humari
Bewaja hum khursheed ko panay niklay

Chaha jab bhe kabhi loat k aana  shaukat
Dard teri zaat saiy juray ore satanay niklay

Saturday, 16 May 2015

Hai Ajeeb Dil Ki Hallet Her Shaiy Hoe Praie

HAI AJEEB DIL KE HALLET


Hay ajeeb dil ke halat her shay hoe paraaie
Meray dil main busnay walay teri yad phir say aaye

Tujhay dhoondti hain nazrain tujhay kis jaga main paon
Bardi lumbi ye judaie tou nay bay subub banaie

Parday saaray rung pheekay teri baywafaiyon say
Main jahan jahan say guzra hoe meri jug hunsaie

Meri preet tou nay looti mera chain tou nay cheena
Tujhay raas kyun na aaie barson ke aashnaie

Tujhay aasman bunaya main nay apni zindagi ka
Mujhay kya pata tha hogi teray dil main baywafaie

Jo saza main nay daidi teri aarzo main khud ko
Meray khawb saaray tootay mujhay niend tak na aaie

Main jal k raakh gar hon tou nehi hay iska zaamin
Mujhay jug nay mar dala main nay aag khud lagaie

Ye bharam bhe aaj toota teri dosti ka shaukat

Tou nay khud he ke mohabat tau saza bhe tou nay paaie

Saturday, 9 May 2015

Jis ko Nigha e Shoq nai rakha hai aas paas


Pyar Ki Kahani MaiN Roz Jeetay Mertay Hain

PAYAR KE KAHANI MAIN ………..

Payar ke kahani main roz jeetay mertay hain
Dao dilon k aisay he raat din guzertay hain

Saath jab bhe chaltay hain oonchay neechay ruston pay
Aik saath donon k dil bhe haan daraktay hain

Dosti bhe hoti haiy dushmani bhe hoti hay
Payar bhe tau hota hay iltija bhe kertay hain

Jab chammon main phoolon k dermiyan wo chaltay hain
Sir tikka k shaanon pay shokhiyan bhe kertay hain

Uljhanay bhe aati hain gham ke hawaien bhe
Hijer k andhairon main wasl ko terustay hain

Loog bhe tau miltay hain bayshumar jeevan main
Onn ke zaat say aksar zaawiye badaltay hain

Zeest k subhi moasum ik tarah nehi chaltay
Rishtay bhe badaltay hain loog bhe tau mertay hain

Harf-e-aam main shaukat zindagi hay iss ka naam

Iss k sub k sub moasum daastan badaltay hain

Wednesday, 6 May 2015

Laiker kisi sai jaam monh ko laga liya

LAIKER KISI SAIY JAAM

Laiker kisi saiy jaam monh ko laga liya
Lo hum nay runj o gham saiy daamun chorda liya

Budnaam kam nehi thhay pehlay he dosto
Ore maikashi k daagh saiy chehra saja liya

Dainay ko koch sakoon roh e rawan ko ab
Basero samaat per bhe parda gira liya

Koch bhe nehi diya aiy zindagi tujhay
Sukh chain teray wastay abter bana liya

Jalnay diya tamam umer dil ka roowan roowan
Taarikiyun ka apni isay jugnoo bana liya

QadmoN ko her mord per jalti zameen mili
Tapti sulagti raakh main khud ko jala liya

Jo haadsay hovay nazmoN main likh diye
Kehnay ko khud ko hum nay shayer bana liya

Jeewan tujhay rulata raha shaukat qadm qadm

Ye na howa kabhi, jo chaha wo pa liya

Monday, 20 April 2015

MAIN OSS MOHABBAT KO KAHON KAISAY MOHABBAT SHAUKAT

Main oss mohabbat ko kahoN kaisay mohabbat shaukat
Na ho jis main tammanaey e deed o qurb shamil.

Friday, 10 April 2015

kisi roz zindagi sai sawal tou bhe ker

Kisi roz zindagi sai sawal tou bhe ker
Aashufta gar maiN hon tau malaal tou bhe ker

Rakh na tou iss jahan sai umeed e nao koe
Jeevan k chaar din ka khayal tou bhe ker

Jo poochta hai haal tera aks sai teray
Ayan apnay dil ka ehwaal tou bhe ker

Gar chahata hai apnay hisay ke raahatain
Tootay hovey rishtoN ko bahaal tou bhe ker

Kis moasam e hayat main chaha nehi tujhay
Aiy jan e arzoo Koch kamal tou bhe ker

Lagta hai bin teray he guzray gi zindagi
Apni fasooN giri ko misaal tou bhe ker

Rukhsat howa hai dard meri zaat sai kahan
Koch waqf meray naam mah o saal tou bhe ker

Ab apni dustras main laiy ker ashaar shaukat

Murrattab kisi deewan k khad o khaal tou bhe ker

Sunday, 1 March 2015

USAY HUM YAAD ATAIY HAIN ..


Friday, 27 February 2015

KAHAN ZINDAGI NAI DIYA MUJHE .......


Sunday, 22 February 2015

NA TAU DUKH NAI DIYA SUKH SAI JEENAY MUJHAY

Wednesday, 18 February 2015

Dukh ka sumandar jo teri aankh maiN ..........


Thursday, 12 February 2015

jisay husn ka ghamund hai

Jisay husn ka ghamund hai wo phira kray chhupa ker
HumaiN ishq ka nasha hai humaiN kiya khaber kisi ki

Sunday, 8 February 2015

Kisi sai istarah raghbat nehi thhee


Sunday, 25 January 2015

Tum apnay haath sai bus itna kaam ker daina


Saturday, 17 January 2015

MAIN TUJH KO SUNNATA HON JO ROODAD MAI HAI