SUFAR MAIN IK NAYA DAIKHON
Dukhi dil ke nigahon sai tujay main dooor khhara daikhon
Kisi konay main khud ko main bohat majboor para daikhon
Meray wajdaan k ander bupa hai kashmakash itni
Kabhi tujh ko yahan daikhon kabhi tujh ko wahan daikhon
Zara tau kuch tawazan ho meray deeda-o-dil main bhe
Kabhi main kaanch k tookray ko sonay main jara daikhon
Lufzon ke koe qeemat nehi hoti kiya duniya main
Main her ik baat k peechay naya toofan khhara daikhon
Teray qubzay main rehti thhe mohabbat jo wafa bun kar
Main teri iss khoobi ko tujhi sai ab juda daikhon
Sufar qadmon ka nazron ka doanon main masafat hai
Tujhay dhoondon tujhay paaon kahan tak main sada daikhon
Kahan munsoob hota hay koe aisay musafir sai
K jis ke gardish-e-paa ko main mutti sai atta daikhon
Tamuna hai koe tilsum ab aisa ho ayaan shaukat
Sobha jub niend sai jaagon sufar main ik naya daikhon
No comments:
Post a Comment