Saturday, 14 November 2015

hijr guzer jaey tau khul jayen ye aankhain

hijr guzer jaey tau khul jayen ye aankhain
bs youm e wasl tak tou mujhe niend ata kr

KIS LEYE MAIN TUJH SAIY

KIS LEYE MAIN TUJH SAIY ……..

Kis leye main tujh saiy mulaqaat ab karon
Kis dard ko apnay leye soghaat ab karon

Jo koch mera naseeb thha wo mil gaya mujhay
Kis kaam main aik din raat ab karon

Tou nay he giraie thhee dewar payar ke
Kis tarah blund teray derjaat ab karon

Aa daikh meri halat main kiya saiy kiya howa
Kis hoslay saiy bus main halaat ab karon

Beh raha hon un daikhi manzilon k ore
Kis dil saiy apni keshti gharqaab ab karon

Jo kaam terey bus main thha wo tou nay ker diya
Kis kaam saiy main apni shroo’at ab karon

Hasil nehi mujh ko kisi per bhe dustaras
Kis kis saiy kis ke baat ka hisaab ab karon

Jal bujh rehay hain shaukat tamana’oN k deye

Kis deye ke lo ko mehtaab ab karon

Sunday, 1 November 2015

Main rait pe likha hova ik naam he tau tha

Main rait pe likha hova ik naam he tau tha
Hova tez thee jo dil sai teray pal main mit gya

WO AIK SAYA JO SATH MERE KABHI CHALA NA

WO AIK SAYA JO SATH ……

Wo aik saya jo sath meray kabhi chala na, wo kho gaya na
Tareek rah mai jo bun k jugnoo kabhi jala na , wo kho gya na

Mehak rachi thee fiza mai jis ki hava mai sargoshiyaN theiN shamil
Wo phool bun k meray chammon main kabhi khila na, wo kho gya na

Sunna tha rustoN mai chalnay wala her aik hota nehi musafir
Thhehar k oss nai sufer dobara shroo kiya na, wo kho gya na

Swal koe wafa nehi tha sakoon daita thha oss ka hona
Meray sakooN ko ja k oss nai fanna kiya na, wo kho gya na

Sitam zareefi nehi thha shaiva laga mjhey Koch iss tarah he
Mgr jo haq e wafa tha mera hova ada na, wo kho gya na

Charagh laiker andhairi raatoN mai dhoondta hon nishan oss k
Mgr kabhi bhe kehin bhe oska pata mila na, wo kho gya na

Kabhi na chaha kabhi na soocha k hijer rah e wafa milay ga
Yaqeen e kamil ko osnay meray dagha diya na, wo kho gya na

Dua’yeN milti rehien hain shaukat hazar barsoN ke zindagi ko

Taweel jeevan ko ja k oss nae ghatta diyana, wo kho gya na