Friday, 27 July 2018

Sumjha he jo nehiN zabaN meri

Sumjha he jo nehiN zabaN meri
KahaN hai chah ab yahaN meri

Chala jo saath her qadam meray
Wohi sumjha nehi fughaN meri

Silsila pyar ka rukka bhe nehi
Os pe her baat thee ayaaN meri

Nazuk itni k phool chhoo ker bhe
Ahh bharti thee jan e jaaN meri

Jholi bhar laitay pyar se apni
Itni oqaat thee kahaN meri

Shughal sumjha meri mohabbat ko
Bunti os sai kahaN kahaN meri

Tazkera zof e hal kiya kertay
Kon sunta tha kab kahaN meri

Rah chuntay jo apni hum shaukat
Khaak udti yahaN wahaN meri

Wednesday, 18 July 2018

Kabhi qurbat k lumhon main thhikana bhool jatay hain



Kabhi qurbat k lumhon main thhikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasana bhool jatay hain

Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain

Chhupa kar baithh jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain

Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othhana bhool jatay hain

Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain

Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam kar k wafa’on ka zamana bhool jatay hain

Tumhari aarzo main hum hoovay roswa zamanay main
Ye marg-e-jan say pehlay batana bhool jatay hain

Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke hallat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain


Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy


Tujhay Kiya Khaber aiy hum nashin yahan kitnay sadmay guzar gaiaiy
Tujhay yaad ayee bhe tau jab meray sapnay saaray bikhar gaiaiy

Teri bandagi k hasool main, main kahan kahan say guzar gaya
Mila mujh ko koe na aashiyan mairay din andhairon sai bhar gaiaiy

Na he raaston ke khaber mili na he manzilon ka pata mila
Meri zindagi k wo char din issi jostujo main guzar gaiaiy

Koe pal sahara na daiy saka teri yaad say nijaat ka
Sobho sham rehay yehi mashghalay saaray ashk bai-asar gaiaiy

Tera dil jo bayqarar tha kabhi mujh pay dil-o-jaan say
Teray roothhnay say o sanum meray dil main khhanjar utar gaiaiy

Koe fiker laahuq na thhe humain kabhi apnay ranj-o-malal ke
Meray kal ore aaj k saaray dokh gham-e-hijran main badal gaiaiy

Kab hum nay jujh say gila kya kabhi apnay dard-e-baihaal ka
Baray hoslay ke ye baat thhe inhe hoslon main hum mar gaiaiy

Dil-e-natawan ke ye kaifiat, shaukat aag bun kar sama gaei
Janay kitnay mousam issi tara meray saahilon say guzar gaiaiy


Khaber nehiN zinda hoN ya mer gya hoN maiN

Khaber nehiN zinda hoN ya mer gya hoN maiN
Raha hoN doob kr tair dooor sagar maiN

Friday, 13 July 2018

Dooor sai pas ik shakhs ata gya



Dooor sai pas ik shakhs ata gya

Daikh kr main usay muskurata gaya

Wo mujhe daikhta main usay daikhta
Bas yunhi zindagi ko chalata gya

Daikh ker os ke ankhoN ke jadogri
Dil mera khud ba khud gungunata gya

Raaz main reh gya Koch tau mazi mera
Hal ka hal main tau sonata gya

Likh raha tha waraq der waraq main usay
Lufz her ik wo mera mittata gya

Koch na hasil hova zindagi katt gaie
Main usay wo mujhe bas rulata raha

Waqt ruk sa gya jab wo rukhsat hova
Main osi mord ko ghar banata gaya

Poochtay Koch rahay loog shaukat magar
Main idhar ke udher ke sonata gya