Monday, 4 June 2018

Meray naqsh kee badaulat mujhay shadman na sumjho

Meray naqsh  kee  badaulat  mujhay  shadman na sumjho
Meri  khosh  khaslatti  ko  meri  daastan na samjho

Koe  ghum  nahi  jo  thehro  mairay  saaye main zara  dair
Main  shajer  hoon  raastay ka mujhey  aashiyan na sumjho

Main  yehan  bhuttak  raha hoon ghum-e- zindagi othaaye
Main  chamon main ajnabi hoon mujhey baaghban na sumjho

Koch  bhooli  busree  yaadain  meri  zaat  main daffun hain
Main  shaayer-e-sokhun  hoon  mujhey raazdan na sumjho

Rahein dooor tak sitaray meray saat saat chaltey
Main shamil-e-suffer hoon mujhay karwan na sumjho

Abhi koch hay dair baaqi meri zindagi kee hud main
Main naa tawan hoon laikin mujhay bayzaban na sumjho

Kal tak rahay jo shaamil teri zindagi main shaukat
Kehtay hain hum ko apnay ab darmiyan na sumjho



Aik aurat thee meri maaN ke shakal maiN shaukat

Aik aurat thee meri maaN ke shakal maiN shaukat
Ja baja jis ne sumbhala hai mujhe girnay sai

Sunday, 3 June 2018

khoshi main dard k lumhay talash kerta hon



Khoshi  main  dard  k  lamhay  talash  karta  hon
Apnay  wajood  k  tukray  talash  karta  hon

Main  apni  zeest  ke  un ginnat  takleefon  main
Apnay  leye  sudmay   talash  karta  hon

Hay  aziyiat  nahi  shaamil  meri  fitrat  main
Tujh  say  milnay  k  rastay  talash  karta  hon

Jo bas gaya hay  meray  dil  ke  gahraiyon  main
Oss  ko  paanay  k  harbay  talash  karta  hon

Naamay  mohabat  k  jo  jala  deiye  thhay  kabhi
Main  onn  khatoot  k  purzay  talash  karta  hon

Raat  bhar  jaag  kar  aasmaan  ore  sitaaron  main
Tootay  howay  taaray  talash  karta  hon

Bhatakta  rehta hon  aalim-e-dargoor  main  bhe
Bikhray  howay   kutbay  talash  karta  hon

Main  dhaamp   kar  dil  ke  kaifiat  shaukat
Her  jaga  apnay  payaray  talash  karta  hon