Friday, 16 March 2018

Kabhi qurbat k lumhon main

Kabhi qurbat k lumhon main thhikana bhool jatay hain
Kabhi furqat ka teri hum fasana bhool jatay hain

Sitam hay ye mohabat main tum jisko isqadar chaho
Oosi ke aarzo main hum zamana bhool jatay hain

Chhupa kar baithh jatay hain naseebon ka diya zaiwer
Kabhi tujhko kabhi khud ko dikhana bhool jatay hain

Bas apni zaat main kho kar apna he ziker karna
Kisi doojay ka koe gham othhana bhool jatay hain

Ser-e-mehraab jaltay hon chiragh-e-gham andhairon main
Hum apnay aansowon ko phir dabana bhool jatay hain

Shroo jo ho wafa k naam per hum aisay rishtay ko
Khatam kar k wafa’on ka zamana bhool jatay hain

Tumhari aarzo main hum hoovay roswa zamanay main
Ye marg-e-jan say pehlay batana bhool jatay hain

Shaukat yaad rakhtay hain hum apnay dil ke hallat ko
Magar apni khata’on ko dikhana bhool jatay hain

Sunday, 11 March 2018

Mujhe Tou bata maiN kiya kroN

Mujhe Tou bata maiN kiya kroN
Tera ziker kaisay kiya kroN
Ye ajeeb see he tau baat hai
Tou jafa kray maiN wafa kroN

Friday, 2 March 2018

Garchay tumharay pyar ke husrat nehi rehi


Garchay tumharay pyar ke husrat nehi rehi
Phir bhe ghalat hai ye k mohabbat nehi  rehi

Pehlay tau barishoN sai bohat pyar tha humaiN
Ab baadloN sai bhe humain rughbat nehi rehi

Budlay wafa k mangta tha main bhe tau wafa
Phir yun hova k is ke bhe aadat nehi rehi

Sar e rah budal diya hai irada sufer ka yun
Manzil ko bhe humari zaroorat nehi rehi

Jab saath thay shaukat tau ulajhtay bohat thay hum
Ab door hain tau koe shikayat nehi rehi


Thursday, 1 March 2018

Khil gaey aap he galoN pe gulaab

Khil gaey aap he galoN pe gulaab
Jab teray hontoN ka lums yad aya

Is liye tujh sai dooor rehta hoN