Friday, 23 February 2018

Mian tujh ko sunaata hon jo roodad main hai

Mian tujh ko sunaata hon jo roodad main hai
Ik pari zad ka paiker dil e berbaad main hai

Jab sai aya hai meray dil k nihaan khanay mai
Aik halchal see muchi gosha e abaad mai hai

Wo husan e mujassam go mera humdam tau nehi
Phir bhe ehsaas e rafaqat meray humzaad mai hai

Jhoomta hon tau qadam rukktay nehi hain meray
Jaisay quowat e junon raqs e saiyaad mai hai

Ik zabt e musalsal jo graizan hai fughaan sai
Kiya bataon kiya husrat meri feryaad mai hai

Meri aankhon main nehin lutf e sakoon ka munzer
Job he mojood hai munzer wo teri yaad mai hai

Qurb e yaraan ka jo ehsaas hova hai shaukat

Is takhiyul ka tasalsul dil e na shad mai hai

Thursday, 22 February 2018

Gulon main aashiyan rakha howa hay


Gulon main aashiyan rakha howa hay
ik yaadon ka jahan rakha howa hay

Meri mehfil main aao tau main keh doon
Tera naam-o-nishan rakha howa hay

Tumhi  keh lo jo kehna chahtay ho
HamaiN tau baizaban rakha howa hay

Guzerti ja rehi hay zindagani
Dilon ko badgoman rakha howa hay

Dikhaei daiy rehi hay mujko manzil
Nazar main ik samaan rakha hawa hay

Nehi hay paatna mushkil wo darya
Jo tum nay darmiyaan rakha howa hay

Lagaie aag jis nay aashiyan main
Osi ko meherban rakha howa hay

Kisi hikmat k baeis osnay shaukat
Tera koch imtehan rakha howa hay

Monday, 19 February 2018

Wada tau mulaqaat ka kerta hai wo hum sai


Zamin asmaan ko milaon tau kiya hay

Zamin asmaan ko milaon tau kiya hay
Main lufzon k teer chalaon tau kiya hay

Mudoo main nay sub ko yahan pay kiya hay
Tumhain jan-e-mehfil banaon tau kiya hay

Dikh tau raha hon main chehra jahan ko
Ab aankhon say neer bahaon tau kiya hay

Thham gaaiy ashak bhe ab tau behtay behtay
Ab thhora sa main muskeraon tau kiya hay

Koch zada nehi loog pagal kehain gaiy
Main nazron say koch gir jaon tau kiya hay

Ye halat mujhay teray ghum say mili hay
Dokhon say main duniya basaon tau kiya hay

Chalo aaj daiy dau mujhay ye ijaazat
Teray pas main loat aaon tau kiya hay

Mujhay loog kehtay hain shayer hay shaukat

Main daad-e-sukhan onn say paaon tau kiya hay

Monday, 5 February 2018

Bazahir aam honey sai koe bhe aam nehi hota

Bazahir aam honey sai koe bhe aam nehi hota
Jinhain chahat budalti hai wohi tau khaas hotay hain