Friday, 27 October 2017

Koe gham nehi jo paas aya karay koe


Koe gham nehi jo paas aya karay koe
Aa ker magar ye dil na dukhhaya karay koe

Ik Arzoo humaray hay mun main busi hoe
Ziker-e-wafa saiy dil ko behlaya karay koe

Wo aaj kal nehi hain iss ghar ke ronaqain
Haathon saiy apnay ghar ko sujaya karay koe

Taskeen iss jahan main mushkil hay mil sakaiy
Rusta sakoon ka hum ko dikhaya karay koe

Ye dharkanain qarar paaien tau kis taran
Itna bhe ab na yaad aaya karay koe

Dukh dard ke fiza saiy hum aagay nikal gaeaiy
Maazi na hum ko yaad dilaya karay koe

Aankhon k bardh gaeaiy hain neindon saiy faslaiy
Haathon saiy thhapthapa k sulaaya karay koe

Jurm-e-wafa nay shaukat mujrim bana diya

Haq main humaray faisla sunaya karay koe

Tuesday, 17 October 2017

Shaffaaf ab raha nehiN meri zaat ka libaas

Shaffaaf ab raha nehiN meri zaat ka libaas
Gard safer e zeest ke bohat ander tak jum gaie

Friday, 13 October 2017

Diya hai dard os ne bhe

Diya hai dard os ne bhe
zindagi jisay sumjha hum ne

Sunday, 8 October 2017

Phir teri yaad ne abaad kiya dil

Phir teri yaad ne abaad kiya dil
Phir hum khud sai la ta'aluq ho gaey

Zindagi main jo hum ko mila kho diya

Zindagi main jo hum ko mila kho diya
Janay kis cheez ko kis jagah kho diya

Loog kertay rehay apna apna safer
Hum ne manzil ka apni pata kho diya

Gham ke taseer meethi ab lagnay lagi
Jism nae jeenay ka zaiqa kho diya

Jatay jatay wo ik pal rukka tha magar
Koch kehnay ko tha lafz kiya kho diya

Poochtay hain sabub khamoshi ka loog
Kiya kahoN hum nae haq e sada kho diya

Na jala ab andhairay main koe deeya
Hum nae din raat sai wasta kho diya

Kon mujrim hai munsif hai shaukat bata

Kis nae kis ke wafa ka sila kho diya

Sunday, 1 October 2017

Apni chahat mai aaney waloN sai

Apni chahat mai aaney waloN sai
Kerbla tou ne bewafaie ke