Tuesday, 28 February 2017

Tum Wasal main khushyun ke baat kertay ho

Tum wasal mai khushyun ke baat kertay ho
Hum tau hijer main bhe muskurai haiN
Rung dainay k liye zindagi ko naya
Roshni sitaroN sai maang laeye hain


Wednesday, 22 February 2017

Mujhe apne zabt pe tha yaqeeN

Teri baatoN ka mujhe jab bhe khayal aye ga

Teri baatoN ka mujhe jab bhe khayal aye ga
Hijer main guzray hovey saaloN ka sawal aye ga
Hai posheeda nehi tujh sai meri eaza koe
Ginenay baitho gaiy tau her dard pe haal aye ga

Hijer o gham na kertay sufar qadam qadam

Hijer o gham na kertay sufar qadam qadam
Zindagi na jalti tere khayal main kabhi

Shahar Ka Shahar hogya dushman

Shahar Ka Shahar hogya dushman
Ab kisay aashna hum kraiN

Laazim hai meri tazeem aiy mohabbat tujh pe

Laazim hai meri tazeem aiy mohabbat tujh pe
Mushkil sai chukaie hai teri qeemat hum nae

Thursday, 16 February 2017

Bhaiji hai mehak apni tujhe phool ke sorat

Bhaiji hai mehak apni tujhe phool ke sorat
umeed hai khushboo chali ayie gi teri bhe

Lugta hai bichar jayien gaiy hum kal ya persoN

Lugta hai bichar jayien gaiy hum kal ya persoN
Ronay k liye apnay koch ashq bucha lo

Friday, 10 February 2017

MunzilaiN dum tord gaieN musafataiN dum tord gaieN

MunzilaiN dum tord gaieN musafataiN dum tord gaieN
Zindagi sai apni sari mohabbataiN dum tord gaieN

Raaz main rakhta raha main mohsonnoN ke inaeyetaiN
Ab tau dil ke sari apni runjishaiN dum tord gaieN

Rah numaiye sai bhe nalaaN ho gaey apnay naseeb
MusafiroN sai raastoN ke ulfataiN dum tord gaieN

Ab na aana k khizaaN nae ker diya soonna humaiN
Rufta rufta iss chammon ke ronakaiN dum tord gaieN

Jab bhe chaha hum nae chalna be subub aisa hova
Thhum gya chalta waqat ore sa’ataiN dum tord gaieN

Modd k daikha her ghadi hum nae tumhari oor bhe
Tou raha Sakin wahiN tau  khawhishaiN dum tord gaieN

Aarzoo hae na tamanna ab humaiN shaukat koe

Zaat sai apni humari qurbataiN dum tord gaieN

KhawboN ka aitebaar na kerna

KhawboN ka aitebaar na kerna
ye jala daiN gai zindagi ko teri

Gham bantnay ke koe zaroorat nehi sahib

Gham bantnay ke koe zaroorat nehi sahib
Gar ho sakay tau haal mera pooch liya kraiN